Gazels In Hindi| Best Gazels Lines and Shayari Reading And Share On whatsapp

Gazels Shayari
Hindi Gazels


Ye Kab Kaha Tha

Ye Kab Kaha Tha Nazaron Se Khauf Aata Hai;
Mujhe To Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai;

Main Dushmanon Ke Kisi Vaar Se Nahi Darta;
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai;

Khiza Ka Jabar To Seene Pe Rok Lete Hain;
Humein Udaas Baharon Se Khauf Aata Hai;

Mile Hain Dosto Besakhiyon Se Gham Itne;
Mere Badan Ko Saharon Se Khauf Aata Hai;

Main Iltifaat Kee Khandaq Se Door Rehta Hun;
Talluqaat Ke Gaaron Se Khauf Aata Hai!

Share On Whatsapp


Zara Si Der Ko Aaye The

Zara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon Mein;
Phir Us Ke Baad Musalsal Azaab Aankhon Mein;

Wo Jis Ke Naam Kee Nisbat Se Roshni Tha Wuzood;
Khatak Raha Hai Wohi Aaftaab Aankhon Mein;

Jinhe Mata-e-Dil-o-Jaan Samajh Rahe The Hum;
Wo Aaine Bhi Hue Behijaab Aankhon Mein;

Ajab Tarah Ka Hai Mausam Ki Khak Udti Hai;
Wo Din Bhi The Ki Khile The Gulab Aankhon Mein;

Mere Ghazal Teri Wahshaton Kee Khair, Ki Hai;
Bahut Dino Se Bahut Iztaraab Aankhon Mein;

Na Jaane Kaisi Qayamat Ka Peshkhema Hai;
Ye Uljhanein Teri Be-Intasaab Aankhon Mein!

Share On Whatsapp


Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna;
Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna;

Ehsaas Kee Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna;
Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna;

Raaton Ko Bhatakne Kee Deta Hai Saza Mujhe;
Dushwaar Hai Pehlu Mein, Dil Tere Bina Rakhna;

Logon Ko Nigaahon Se Padh Lene Kee Aadat Hai;
Logon Kee Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna;

Bhuloon Main Agar Aye Dil, Tu Yaad Dila Dena;
Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Hara Rakhna;

Ik Boond Bhi Ashkon Kee Daaman Na Bhigo Paaye;
Gham Us Kee Amaanat Hai, Palkon Pe Sajaa Rakhna;

Iss Tarah 'Qateel' Us Se Bartaao Rahe Apna;
Woh Bhi Na Bura Maane, Dil Ka Bhi Kaha Rakhna!

Share On Whatsapp


Saanson Kee Hararat Se Pighal Jaane Ka Mausam;
Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaane Ka Mausam;

Hum Ko Nahi Maaloom Tha Ishq Ka Aaghaaz;
Yaadon Mein Kahin Door Nikal Jaane Ka Mausam;

Lagta Hai Ki Chehre Pe Tere Thehar Geya Hai;
Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaane Ka Mausam;

Ai Shehar Tasalli Tere Mashkoor Hain Hum;
Aaya Hi Nahi Dil Ke Sambhal Jaane Ka Mausam;

Ye Shehar-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ki Is Par;
Barsaat Mein Bhi Rehta Hai Thal Jaane Ka Mausam;

Chehre Pe Agarche Hain Mere Subah Ka Ujaala;
Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaane Ka Mausam!

Share On Whatsapp

Ab Woh Ghar Tak Viraana Tha Bas Viraana Zinda Tha,
Sab Aankhen Damm Tod Chuki Thi Aur Main Tanha Zinda Tha;

Saari Gali Sunsaan Padi Thi Baad-E-Fana Ke Pehre Mein,
Hijr Ke Dalaan Aur Aangan Mein Bas Ik Saaya Zinda Tha;

Woh Dopeher Apni Rukhsat Ki Aisa Waisa Dhoka Thi,
Apne Andar Apni Laash Uthaaye Main Jhootha Zinda Tha;

Thi Woh Ghar Raatein Bhi Kahani Vaade Aur Phir Din Ginna,
Aana Tha Jaane Wale Ko Jaane Wala Zinda Tha;

Dastak Dene Wale Bhi The Dastak Sunne Wale Bhi,
Tha Abaad Mohalla Sara Har Darwaza Zinda Tha;

Peele Patton Ko Seh-Pehr Ki Vehshat Pursa Deti Thi,
Aangan Mein Ik Aundhe Ghade Par Bas Ik Kava Zinda Tha!

Share On Whatsapp


Aankhon Se Mere Is Liye Laali Nahin Jati;
Yaadon Se Koi Raat Jo Khaali Nahin Jati;

Ab Umar, Na Mausam, Na Woh Raaste Ki Woh Palte;
Iss Dil Ki Magar Khaam Khayali Nahin Jati;

Maange Tu Agar Jaan Bhi To Hans Ke Tujhe De Dein;
Teri To Koi Baat Bhi Taali Nahin Jati;

Aaye Koi Aa Ke Yeh Tere Dard Sambhaale;
Hum Se To Yeh Jageer Sambhaali Nahin Jati;

Maloom Humein Bhi Hain Bahut Se Tere Kisse;
Yeh Baat Teri Hum Se To Uchaali Nahin Jati;

Humraah Teri Phool Khilaati Jo Dil Mein;
Ab Shaam Wohi Dard Se Khaali Nahin Jati;

Hum Jaan Se Jaayen Ge Tabhi Baat Bane Gi;
Tum Se To Koi Raah Nikaali Nahin Jati!

Share On Whatsapp


Chal Diye Uth Ke

Chal Diye Uth Ke Su-e-Shehar-e-Wafa Ku-e-Habib;
Puch Lena Tha Kisi Khak Basar Se Pehle;

Ishq Pehle Bhi Kiya Hijr Ka Gham Bhi Dekha;
Itne Tadpe Hain Na Ghabraye Na Tarse Pehle;

Jee Bahalta Hi Nahin Ab Koi Saath Koi Pal;
Raat Dhalti Hi Nahin Char Pahar Se Pehle;

Ham Kisi Dar Pe Na Thithak Na Kahin Dastak Di;
Saikadon Dar The Meri Jaan Tere Dar Se Pehle;

Chand Se Ankh Mili Jee Ka Ujala Jaga;
Hum Ko So Bar Hui Subah Sahar Se Pehle!

Share On Whatsapp


Bechain Bahut Phirna

Bechain Bahut Phirna Ghabraye Hue Rehna;
Ik Aag Si Jazbon Ki Dehkaaye Hue Rehna;

Chalkaaye Hue Khushbuu Lab-e-Laleen Ki;
Ik Baag Sa Sath Apne Mehkaaye Hue Rehna;

Ik Shaam Si Kar Rakhna Kaajal Ke Karishme Se;
Ik Chaand Sa Aankhon Mein Chamkaaye Hue Rehna;

Aadat Hi Bana Li Hai Tum Ne To 'Munir' Apni;
Jis Sheher Mein Bhi Rehna Uktaaye Hue Rehna!

Share On Whatsapp


Dil Soz Se Khali Hai Nigah Paak Nahi Hai;
Phir Is Mein Ajab Kya Ki Tu Be-Baak Nahi Hai;

Hai Zauq-e-Tajali Bhi Isi Khaak Mein Pinaha;
Gaafil Tu Nira Sahib-e-Idrak Nahi Hai;

Wo Aankh Ki Hai Surma-e-Afarang Se Roshan;
Pur-Kaar O Sukhan-Saaz Hai Nam-Naak Nahi Hai;

Kya Sufi-O-Mullaa Ko Khabar Mere Junoon Kee;
Un Ka Sar-e-Daaman Bhi Abhi Chaak Nahi Hai;

Kab Tak Rahe Mahakumi-e-Anjum Mein Meri Khaak;
Yaa Main Nahi Yaa Gardish-e-Aflaak Nahi Hai;

Bijli Hun Nazar Koh O Bayaabaan Pe Hai Meri;
Mere Liye Shayan Khaas-o-Khashak Nahi Hai;

Aalam Hai Faqat Momin-e-Jaanbaaz Kee Meeraas;
Momin Nahi Jo Sahib-e-Laulaak Nahi Hai!

Share On Whatsapp


Jab Kisi Se

Jab Kisi Se Koi Gila Rakhna;
Samne Apne Aaina Rakhna;

Yun Ujaalon Se Waasta Rakhna;
Shama Ke Paas Hi Hawa Rakhna;

Ghar Kee Taameer Chaahe Jaisi Ho;
Is Mein Rone Ki Jagah Rakhna;

Masziden Hain Namaaziyon Ke Liye;
Apne Ghar Mein Kahin Khuda Rakhna;

Milna-Julna Jahan Zaroori Ho;
Milne-Julne Ka Haunsla Rakhna!
~ Nida Fazli

Share On Whatsapp


Ashk Aankh Mein Phir

Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai;
Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai;

Main Us Ke Khyaal Se Gurezaan;
Wo Meri Sada Jhatak Raha Hai;

Tahreer Usi Kee Hai Magara Dil;
Khat Padhte Hue Atak Raha Hai;

Hain Phone Pe Kis Ke Saath Baatein;
Aur Zehn Kahaan Bhatak Raha Hai;

Sadiyon Se Safar Mein Hai Samandar;
Saahil Pe Thakaan Tapak Raha Hai;

Ek Chaand Saleeb-E-Shaakh-E-Gul Par;
Baali Kee Tarah Latak Raha Hai!

Share On Whatsapp


Ek Baar

Ek Baar Kar Ke Aitbaar Likh Do;
Kitna Hai Mujh Se Pyaar Likh Do;

Kat Ti Nahi Yeh Zindagi, Ab Tere Bin;
Kitna Karoon Aur Intezar Likh Do;

Taras Rahi Hun Badi Muddat Se;
Iss Bar Apni Mohabbat Ka Izhaar Likh Do;

Deewane Ho Jayein Jise Padh Ke Hum;
Kuch Aisa Tum Mere Naam Likh Do;

Zayada Nahi Likh Sakte To Mat Likho;
Mohabbat Bhare Lafz Do Chaar Likh Do;

Ek Baar Likho Mohabbat Hai Tum Se;
Phir Yehi Jumla Baar Baar Likh Do!

Share On Whatsapp

Dil Daba Jata Hai

Dil Daba Jata Hai Kitna Aaj Gam Ke Bhaar Se;
Kaisi Tanhayi Tapakti Hai Dar-o-Deewar Se;

Manzil-e-Iqrar Apni Aakhiri Manzil Hai Ab;
Hum Ke Aaye Hain Guzar Kar Jaada-e-Inkaar Se;

Tarjuman Tha Aks Apne Chehra-e-Ghum-Gashta Ka;
Ik Sada Aati Rahi Aaina-e-Asrar Se;

Mand Padte Ja Rahe The Khwab-Tasveeron Ke Rang;
Raat Utarti Ja Rahi Thi Dard Kee Deewar Se;

Main Bhi 'Akbar' Karb-Aagin Jaanta Hun Zeest Ko;
Munsalik Hai Fikr Meri Fikr-e-Shopnah Aahur Se!

Share On Whatsapp


Kasam Hai Aapke...

Kasam Hai Aapke Har Roz Rooth Jaane Kee;
Ki Ab Hawas Hai Ajal Ko Gale Lagane Kee;

Wahan Se Hai Meri Himmat Kee Ibtidaa Allah;
Jo Intiha Hai Tere Sabr Aazmane Kee;

Phoonka Hua Hai Mere Aashiyan Ka Har Tinka;
Falak Ko Khoo Hai To Hai Bijliyan Girane Kee;

Hazaar Baar Hui Go Malalegul Se Dochaar;
Kalee Se Khoo Na Gayi Phir Bhi Muskurane Kee;

Mere Guroor Ke Maathe Pe Aa Chali Hai Shikan;
Badal Rahi Hai To Badle Hawa Zamane Kee;

Chiraag-e-Dair-o-Harm Kab Ke Bujh Gaye Ai 'Josh';
Hanoz Shammaa Hai Roshan Sharab Khaane Kee!

Share On Whatsapp


Badla Tere Sitam Ka

Badla Tere Sitam Ka Koi Tujh Se Kya Kare;
Apna Hi Tu Farefta Hove, Khuda Kare;

Qaatil Hamari Naash Ko Tash-Hir Hai Zarur;
Aainda Ta Koi Na Kisi Se Wafa Kare;

Fikr-e-Maash, Ishq-e-Butaan, Yaad-e-Raftgaan;
Do Din Ki Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare;

Aalam Ke Beech Phir Na Rahe Rasm-e-Aashiqui;
Gar Neem Lab Koi Tere Shikwe Se Waa Kare;

Gar Ho Sharaab-o-Khilwat-o-Mahboob-e-Khub Roo;
Zaahid Kasam Hai Tujh Ko Jo Tu Ho To Kya Kare;

Khaakastr-o-Patang-o-Mashahd Meri Ki Khaak;
Sham-o-Shafaq Ajab Ho Jo Mil Kar Uda Kare;

Ai Waae Bar Aseer, Ke Par Tod Kar Jise;
Sayyaad Fasl-e-Gul Mein Chaman Se Riha Kare!

Share On Whatsapp


Abke Khafa Hua Hai Itna

Abke Khafa Hua Hai Itna Khafa Bhi Ho;
Tu Bhi Ho Aur Tujh Mein Koi Doosra Bhi Ho;

Aankh Na Chheen Meri Nakabe Badlata Chal;
Yun Ho Ki Tu Karib Bhi Ho Aur Juda Bhi Ho;

Rishton Ke Registan Mein Har Sar Par Dhoop Hai;
Har Paanv Mein Safar Hai Magar Raasta Bhi Ho;

Duniya Ke Kehne Sunane Par Insaniyat Na Chhod;
Insan Hai Toh Saath Mein Koi Khata Bhi Ho!

Share On Whatsapp


Taluq Rakh Liya Baaki

Taluq Rakh Liya Baaki Yakeen Tod Aaya Hun;
Kisi Ka Saath Dena Tha Kisi Ko Chod Aaya Hun;

Tumhare Saath Jeene Kee Kasam Khane Se Kuch Pehle;
Main Kuch Vaade, Kayi Kasmein, Kahin Pe Tod Aaya Hun;

Mohabbat Kaanch Ka Zinaaan Thi, Yun Sang-e-Garaan Kab Thi;
Jahan Sir Phod Sakta Tha, Wahan Sir Phod Aaya Hun;

Palat Kar Aa Geya Lekin Yun Lagta Hai Ki Apna Aap;
Jahan Tum Mujh Se Bichde The Wahin Rakh Chod Aaya Hun;

Use Jaane Kee Jaldi Thi So Main Aankhon Hi Aankhon Mein;
Jahan Tak Chod Sakta Tha, Wahan Tak Chod Aaya Hun!

Share On Whatsapp


Muddat Se Lapata Hai Khudaa Jaane Kya Hua,
Phirta Tha Ek Shakhs Tumhein Puchta Huaa;

Wo Zindgi Thi Aap The Ya Koi Khwab Tha,
Jo Kuch Tha Ek Lamhe Ko Bas Samna Hua;

Hum Ne Tere Bagair Bhi Jee Kar Dikha Diya,
Ab Ye Sawal Kya Hai Ki Phir Dil Ka Kya Hua;

So Bhi Wo Tu Na Dekh Saki Ai Hawa-e-Dahar,
Seene Mein Ik Charag Rakha Tha Jala Hua;

Duniya Ko Zid Numaish-e-Zakhm-e-Jigar Se Thi,
Fariyad Maine Kee Na Zamana Khafa Hua;

Har Anjuman Mein Dhyaan Usi Anjuman Ka Hai,
Jagaa Ho Jaise Khwaab Koi Dekhta Hua;

Ye Iztiraab-e-Shauq Hai 'Akhtar' Ki Gum-Rahi,
Main Apne Kaafile Se Hun Koson Badha Hua!

Share On Whatsapp


Koi Din Gar Zindgani

Koi Din Gar Zindgani Aur Hai;
Apne Jee Mein Hum Ne Thaani Aur Hai;

Aatish-e-Dozakh Mein Yeh Garmi Kahaan;
Soz-e-Ghumhaae Nihaani Aur Hai;

Baarha Dekhi Hain Unki Ranjishen;
Par Kuch Ab Ke Sargaraani Aur Hai;

De Ke Khat Munh Dekhta Hai Naama Bar;
Kuch To Paigham-e-Zabaani Aur Hai;

Qaata-e-Aamaar Hain Aksar Nazoom;
Woh Balaa-e-Aasmaani Aur Hai;

Ho Chukin Ghalib Balayein Sab Tamaam;
Ek Marg-e-Naagahaani Aur Hai!

Share On Whatsapp


Tanhaiyon Mein

Tanhaiyon Mein Khayaal Aata;
Khayaalon Mein Wo Naam Chala Aata;

Beqarar Dil Ko Qarar Nahi Aata;
Milne Ka Humein Kyon Unko Khayaal Nahi Aata;

Jaage Bhi Wo Soye Bhi Wo, Ye Silsila Tham Hi Nahi Pata;
Soche To Kya Soche, Koi Vichar Aur Samajh Nahi Aata;

Rab Se Aziz Wo Kaisa Saaya Hai, Itna Kya Mann Ko Bhaya;
Naam Lena Chahu Rab Ka Aur Uska Hi Naam Zubaan Pe Aa Jata!

Share On Whatsapp


Sar Jhukaoge To...

Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega;
Itanaa Mat Chaho Use Wo Be-Wafa Ho Jayega;

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apana Hunar Maloom Hai;
Jis Taraf Bhii Chal Padenge Raasta Ho Jayega;

Kitani Sachayi Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya;
Tu Nahi Mera To Koi Doosra Ho Jayega;

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Rahaa Hun Dosto;
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jayega;

Rooth Janaa To Mohabbat Kee Alamat Hai Magar;
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jayega!

Share On Whatsapp


Door Se Aaye The Saqi

Door Se Aaye The Saqi Sun Ke Maykhane Ko Hum;
Bas Taraste Hi Chale Afsos Paimane Ko Hum;

May Bhi Hai, Meena Bhi Hai, Sagar Bhi Hai Saqi Nahi;
Dil Mein Aata Hai Laga Den, Aag Maykhane Ko Hum;

Humko Phansna Tha Kafaz Mein, Kya Gila Sayyad Ka;
Bas Taraste Hi Rahe Hain, Aab Aur Daane Ko Hum;

Baag Mein Lagta Nahi Sehara Mein Ghabrata Hai Dil;
Ab Kahan Le Jaake Bithayein Aise Deewane Ko Hum;

Taak-e-Aabru Mein Sanam Ke Kya Khudayi Reh Gayi;
Ab To Pujenge Usi Kaafir Ke Butkhane Ko Hum;

Kya Hui Takseer Hum Se, Tu Bata De Ai 'Nazeer'
Taaki Shadi Marg Samajhe, Aise Mar Jaane Ko Hum!

Share On Whatsapp


Barish Hui to Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye;
Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye;

Baadal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Kee Chaah Mein;
Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye;

Jugnu Ko Din Ke Waqt Parakhne Kee Zidd Karein;
Bachhe Hamare Ahad Ke Chalaak Ho Gaye;

Lehra Rahi Hai Barf Kee Chaadar Hata Ke Ghaas;
Suraj Kee Sheh Pe Tinke Bhi Bebaak Ho Gaye;

Basti Mein Jitne Aab-Gazida The Sab Ke Sab;
Dariya Ke Rukh Badalte Hi Tairaak Ho Gaye;

Suraj Dimag Log Bhi Ablaagh-e-Fikar Mein;
Zulf-e-Shab-e-Firaaq Ke Pechaak Ho Gaye;

Jab Bhi Gharib-e-Shehar Se Kuch Guftguu Hui;
Lahje Hawa-e-Shaam Ke Namnaak Ho Gaye!

Share On Whatsapp


Har Ek Baat Pe Kehte Ho

Har Ek Baat Pe Kehate Ho Tum Ki Tu Kya Hai;
Tum Hi Kaho Ki Ye Andaaz-e-Guftgu Kya Hai;

Ragon Mein Daudte Phirane Ke Hum Nahi Qaayal;
Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai;

Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan;
Hamari Jeb Ko Ab Haajat-e-Rafoo Kya Hai;

Jalaa Hain Jism Jahaan, Dil Bhii Jal Geya Hoga;
Kuredte Ho Jo Ab Raakh, Justajuu Kya Hai!
Kisi Ranjish Ko Hawa Do

Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Mein Zinda Hoo Abhi;
Mujhe Koi Ahsaas Dila Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Mere Rukane Se Meri Saanse Bhi Ruk Jaayegi;
Fasale Aur Badha Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Zehar Peene Ki Toh Aadat Thi Zamanewalo;
Ab Koi Aur Dava Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Chalti Raho Mein Yuhi Aankh Lagi Hai 'Faakir';
Bheed Logo Ki Hata Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi!

Share On Whatsapp


Ishq Ko Taqleed Se Aazad Kar;
Dil Se Giraya Aankh Se Fariyaad Kar;

Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Majaz;
Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar;

Ai Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door;
Meri Veeran Khalvatein Abaad Kar;

Naza Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe;
Bhulne Wale Khudaa-Raa Yaad Kar;

Husn Ko Duniyaa Kee Aankhon Se Na Dekh;
Apni Ik Tarz-e-Nazar Izaad Kar;

Ishrat-e-Duniya Hai Ik Khwab-e-Bahar;
Kabaa-e-Dil Dard Se Abaad Kar;

Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa;
Tauba Kar Nadan Khuda Ko Yaad Kar!

Share On Whatsapp



New status

Diwali Video status 15 August Video Status SRI RAM Video Status RADHA Janamastmi Video Status Ganesh Video Status RAP Video status Block Video Status Motivational Status Mother's Day Status Video Happy Birthday status

Hindi Status

2 Line Status Hindi Shayari Status Images Hindi Status Hindi Status Images Sad Hindi Status Facebook Status Funny Hindi Status Romantic Hindi Status Goodlines Thoughts Status Love Hindi Status Sad Hindi Status New Hindi Status Rakshabandhan Hindi Status Whatsapp Hindi Status Hindi Attitude Status Hindi Shayari Funny Hindi Jokes Romantic Hindi Status Pappu Funny Jokes

Punjabi Status

Punjabi Video status Punjabi Status Dharmik Video status Punjabi New Status Punjabi Status Images Gurpurab Status Punjabi Jokes Punjabi Attitude Status Punjabi Shayari Punjabi Gaint Status Punjabi Fonts Status Punjabi whatsapp Status Punjabi Songs Lyrics

Video status

Birthday Video Status Happy New Year Status 2023 Christmas status Punjabi Video status Hindi Old Song Status Punjabi Sad Video status Sad Video status Maa Video status Motivational Video status Dharmik Video status Mahakaal Video status Rakhi Video status Gurpurab Video status

More Categories

English status Urdu status Birthday status Broken Heart status Pappu Funny status Holi Status MissYou status Friendship status Good Morning status Gazel status Gilashikwa status Eid status Valentine status Diwali status Rose Day status Sorry status
New status