Gazels In Hindi| Best Gazels Lines and Shayari Reading And Share On whatsapp
Hindi Gazels
Giri Is Tabassum Ki Bijli...
Giri Is Tabassum Ki Bijali Ajal Par;
Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara;
Justjoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ai Bulbul Mujhe;
Khoobi-e-Qismat Se Aakhir Mil Gaya Woh Gul Mujhe;
Parwana Tujhse Karta Hai Ai Shama Pyaar Kyon;
Ye Jaane Beqaraar Hai Tujh Par Nisar Kyon;
Qismat Buri Sahi Par Tabiyat Buri Nahin;
Hai Shukr Ki Jagah Ki Shikayat Nahin Mujhe;
Zulm Hai Gar Na Do Sakun Ki Daad;
Qahar Hai Gar Karona Mujhko Pyaar;
Hoga Koi Aisa Bhi Ki Ghalib Ko Na Jaane;
Shayar Toh Wah Achchha Hai Par Badnaam Bahut Hai! Copy Status
Share On Whatsapp
Apna Deewana Bana Kar Le Jaye;
Kabhi Wo Aaye Aur Aa Kar Le Jaye;
Roz Buniyad Uthata Hun Nayi;
Roz Sailab Baha Kar Le Jaye;
Husn Walon Mein Koi Aisa Ho;
Jo Mujhe Mujh Se Chura Kar Le Jaye;
Rang-e-Rukhsaar Pe Itarao Nahi;
Jaane Kab Waqt Udaa Kar Le Jaye;
Kise Maloom Kahan Kaun Kise;
Apne Raaste Pe Laga Kar Le Jaye;
'Aftab' Ek To Aisa Ho Kahin;
Jo Humein Apna Bana Kar Le Jaye! Copy Status
Share On Whatsapp
Khayaal-e-Yaar Mein Mujh Ko Yun Hi Madhosh Rehne Do,
Na Pucho Raat Ka Qissa Mujhe Khamosh Rehne Do;
Sunaya Vasl Ka Qissa To Mere Dost Yun Bole,
Kahan Tum Kahan Us Kee Haseen Aghosh Rehne Do;
Mujhe Maloom Hai Us Ne Mera Hona Nahin Lekin,
Meri Umeed Mat Todo Mujhe Pur-Josh Rehne Do;
Mohabbat Jurm Hai Mera Mujhe Iqraar Hai Iska,
Wafaa Ilzaam Hai To Phir Mere Sar Dosh Rehne Do;
Kitaab-e-Ishq Se Hum Par Yehi Raaz Khula Hai,
Paaye Jo Jaam Ulfat Ka Usse Meh-Nosh Rehne Do!
Jag Mein Aakar
Jag Mein Aakar Idhar Udhar Dekha;
Tu Hi Aaya Nazar Jidhar Dekha;
Jaan Se Ho Gaye Badan Khali;
Jis Taraf Tune Aankh Bhar Dekha;
Nala, Fariyad, Aah Aur Zaree;
Aap Se Ho Saka So Kar Dekha;
Un Labon Ne Kee Na Maseehayi;
Hum Ne Sau-Sau Tarah Se Mar Dekha;
Zor Aashiq Mizaaj Hai Koi;
'Dard' Ko Kissa-e-Mukhtsar Dekha! Copy Status
Share On Whatsapp
Teri Gali Mein Main Na Chalun
Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Sabaa Chale;
Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale;
Kis Kee Ye Mauj-e-Husn Hui Jalvagaar Ki Yun;
Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale;
Hum Bhi Jaras Kee Tarah To Is Qafile Ke Saath;
Naale Jo Kuch Bisaat Mein The So Suna Chale;
Keh Baithiyo Na 'Dard' Ki Ahl-e-Wafaa Hun Main;
Us Bewafa Ke Aage Jo Zikr-e-Wafaa Chale!Tere Daaman Kee Hawa Mangte Hain;
Hum Bhi Jeene Kee Dua Mangte Hain;
Mutaribo Koi Achuta Nagma;
Saaz Aahang-o-Sadaa Mangte Hain;
Maah-o-Anjum Ke Jharokhe Aksar;
Kisi Ke Aariz Kee Dua Mangte Hain;
Phir Patangon Mein Khudayi Jagi;
Sholay Hashr-Numa Mangte Hain;
Banda-Parwar Koi Khairat Nahi;
Hum Wafaon Ka Sila Mangte Hain;
Maikada Ho Ke Kaleesa 'Saghir';
Sari Duniya Ka Bhala Mangte Hain! Copy Status
Share On Whatsapp
Shayad Aaghaz Hua Phir
Shayad Aaghaz Hua Phir Kisi Afsane Ka;
Hukm Aadam Ko Hai Jannat Se Nikal Jane Ka;
Un Se Kuch Keh To Raha Hun Magar Allah Na Kare;
Wo Bhi Mafhoom Na Samjhe Mere Afsane Ka;
Dekhna Dekhna Yeh Hazrat-e-Vaiz Hi Na Hon;
Raasta Puch Raha Hai Koi Maikhane Ka;
Betalluq Tere Aage Se Guzar Jata Hun;
Yeh Bhi Ek Husn-e-Talab Hai Tere Deewane Ka;
Hashr Tak Garmi-e-Hungama-e-Hasti Hai 'Shakeel';
Silsila Khatm Na Hoga Mere Afsane Ka! Copy Status
Share On Whatsapp
Ai Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya;
Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya;
Yun To Har Shaam Umeedon Mein Guzar Jati Hai;
Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya;
Kabhi Taqdeer Ka Maatam Kabhi Duniya Ka Gila;
Manzil-E-Ishq Mein Har Gham Pe Rona Aaya;
Mujh Pe Hi Khatam Hua Silsila-e-Nauhagri;
Is Kadar Gardish-e-Ayyam Pe Rona Aaya;
Jab Hua Zikar Zamaane Mein Mohabbat Ka 'Shakeel';
Mujh Ko Apne Dil-e-Naqaam Pe Rona Aaya! Copy Status
Share On Whatsapp
Jis Tarah Bhi Ho Saka Us Tarah Toda Mujhe;
Zindagi Ne Maut Ke Qabil Nahi Samjha Mujhe;
Zindagi Maankar Chalati Rahi Ghoda Mujhe;
Har Kadam Par Maarti Hai Ek Naya Koda Mujhe;
Zindagi Har Waqt Meri Peeth Par Baithi Rahi;
Apni Marzi Ke Mutabiq Har Taraf Moda Mujhe;
Is Tarah Apno Ke Ehsaan Hai Mujh Par Bahut;
Chot De Kar Dil Ko Sheeshe Ki Tarah Joda Mujhe;
He Zindagi Meri Tujhse Iltiza Itni Hai Bus;
Chodhkar Nafrat Ki Bhasha Pyar De Thoda Mujhe;
Warna Ek Din Jalti Hui Aag Se Bolegi Meri Laash Yoon;
Zindagi Ne Aag Ke Dariya Me Laa Chhoda Mujhe!
Kuchh Faisala To Ho Ki Kidhar Jana Chahiye;
Paani Ko Ab To Sar Se Guzar Jana Chahiye;
Har Baar Aidiyon Pe Gira Hai Mera Lahoo;
Maqtal Mein Ab Ba-Tarz-e-Digar Jana Chahiye;
Kya Chal Sakenge Jin Ka Faqat Masla Ye Hai;
Jaane Se Pehle Rakht-e-Safar Jana Chahiye;
Sara Jvaar-Bhata Mere Dil Mein Hai Magar;
Ilzaam Ye Bhi Chaand Ke Sar Jana Chahiye;
Jab Bhi Gaye Azaab-e-Dar-o-Baam Tha Wahi;
Aakhir Ko Kitni Der Se Ghar Jana Chahiye;
Tohmat Laga Ke Maa Pe Jo Dushman Se Daad Le;
Aise Sukhanafarosh Ko Mar Jan Chahiye! Copy Status
Share On Whatsapp
Aate Jaate Mujhe Ilzaam
Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao;
Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao;
Damm Nikal Jaye Jo Uth Ker Shab-E-Tunhaai Main;
Mujh Ko Wapis Dil-E-Nakaam To Dete Jao;
Main Kisi Aur Ka Ehsaan Naheen Lay Sakti;
Meri Qismat Mera Anjaam To Dete Jao;
Phool Mehkaon -k- Daaman Main Sajaon Kante;
Mere Hisse Ka Mujhe Kaam To Dete Jao!
Copy Status
Share On Whatsapp
Koi Soorat
Koi Soorat Nikalti Kyon Nahi Hai;
Yahan Halat Badalti Kyon Nahi Hai;
Ye Bujhta Kyon Nahi Hai Unka Sooraj;
Hamari Shama Jalti Kyon Nahi Hai;
Agar Hum Jhel Hi Baithe Hain Isko;
To Phir Ye Raat Dhalti Kyon Nahi Hai;
Mohabbat Sar Ko Chadh Jati Hai, Aksar;
Mere Dil Mein Machalti Kyon Nahi Hai! Copy Status
Share On Whatsapp
Lab Pe Pabandi To Hai Ehsas Par Pehra To Hai;
Phir Bhi Ahl-e-Dil Ko Ahval-e-Bashar Kehna To Hai;
Khoon-e-Adaa Se Na Ho Khoon-e-Shahidaan Se Hi Ho;
Kuch Na Kuch Is Daur Mein Rang-e-Chaman Nikhra To Hai;
Apni Ghairat Bech Daalen Apna Maslak Chhod Den;
Rehnumaon Mein Bhi Kuch Logon Ka Ye Mansha To Hai;
Bhuj Rahe Hain Ek Ek Kar Ke Aqidon Ke Diye;
Is Andhere Ka Bhi Lekin Saamna Karna To Hai;
Juth Kyon Bole Farogh-E-Maslahat Ke Naam Par;
Zindagi Pyari Sahi Lekin Humein Marna To Hai! Copy Status
Share On Whatsapp
Saanson Kee Hararat Se Pighal Jaane Ka Mausam;
Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaane Ka Mausam;
Hum Ko Nahi Maaloom Tha Ishq Ka Aaghaaz;
Yaadon Mein Kahin Door Nikal Jaane Ka Mausam;
Lagta Hai Ki Chehre Pe Tere Thehar Geya Hai;
Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaane Ka Mausam;
Ai Shehar Tasalli Tere Mashkoor Hain Hum;
Aaya Hi Nahi Dil Ke Sambhal Jaane Ka Mausam;
Ye Shehar-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ki Is Par;
Barsaat Mein Bhi Rehta Hai Thal Jaane Ka Mausam;
Chehre Pe Agarche Hain Mere Subah Ka Ujaala;
Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaane Ka Mausam! Copy Status
Share On Whatsapp
Ab Woh Galiyan Wo Makaan Yaad Nahi;
Kaun Rehta Tha Kahan Yaad Nahi;
Jalwa-e-Husn-e-Azal The Woh Dayaar;
Jin Ke Ab Naam-o-Nishaan Yaad Nahi;
Koi Ujala Sa Bhalaa Sa Ghar Tha;
Kis Ko Dekha Tha Wahan Yaad Nahi;
Yaad Hai Zeena-e-Pechaan Us Ka;
Dar-o-Deewar-e-Makaan Yaad Nahi;
Yaad Hai Zamzama-e-Saaz-e-Bahaar;
Shor-e-Awaaz-e-Khizaan Yaad Nahi! Copy Status
Share On Whatsapp
Deedaar Ki Hawas Hai Na Shauq-E-Visaal Hai,
Azaad Har Khayal Se Mast-E-Khayal Hai;
Keh Do Yeh Kohkan Se Hi Marna Nahi Kamaal,
Mar Mar Ke Hijr-E-Yaar Main Jeena Kamaal Hai;
Fatva Diya Hai Mufti Abr-E-Bahaar Ne,
Tauba Ka Khooon Baada-Kashon Ko Halaal Hai;
Aankhen Bata Rahi Hain Jaage Ho Raat Ko,
In Saaghron Mein Buu-E-Sharab-E-Visaal Hai;
Barsaao Teer Mujh Pe Par Itna Jaan Lo,
Pehlu Mein Dil Hai Dil Mein Tumhara Khayal Hai;
Aankhen Lada Ke Un Se Hum Aafaat Mein Pad Gaye,
Aankhon Ki Har Zubaan Pe Dil Ka Sawaal Hai;
Bhutt Keh Diya Jo Maine To Ab Bolte Nahin,
Itni Si Baat Ka Tumhe Itna Khayal Hai;
Pucha Jo Unse Jaante Ho Tum Jaleel Ko,
Bole Ke Haan Woh Shayer-E-Naazuk-Khayal Hai! Copy Status
Share On Whatsapp
Jahan Katre Ko Tarsaya Geya Hun;
Wahin Dooba Hua Paya Geya Hun;
Ba-Haal-e-Gham-Rahi Paya Geya Hun;
Haram Se Deir Mein Laya Geya Hun;
Balaa Kaafi Na Thi Ek Zindagi Kee;
Dobara Yaad Pharmaya Geya Hun;
Ba-Rang-e-Lala-e-Veerana Bekaar;
Khilaya Aur Murjhaya Geya Hun;
Agarche Abr-e-Gauhar-Baar Hun Main;
Magar Aankhon Se Barsaya Geya Hun;
'Hafeez' Ahal-e-Zubaan Kab Maante The;
Bade Zoron Se Manvaya Geya Hun! Copy Status
Share On Whatsapp
Ik Umar Dil Kee Ghaat Se Tujh Par Nigaah Kee;
Tujh Par Teri Nigaah Se Chhup Kar Nigaah Kee;
Roohon Mein Jalti Aag Khayalon Mein Khilte Phool;
Saari Sadakatein Kisi Kaafir Nigaah Kee;
Jab Bhi Gham-e-Zamana Se Aankhein Hui Do-Chaar;
Munh Pher Kar Tabassum-e-Dil Par Nigaah Kee;
Baagen Khinchi Masafatein Kadki Faras Ruke;
Maazi Kee Rath Se Kis Ne Palat Kar Nigaah Kee;
Dono Ka Rabt Hai Meri Mauj-e-Khiram Se;
Lagzish Khayal Kee Ho Ke Thokar Nigaah Kee! Copy Status
Share On Whatsapp
Dil Geya Tumne Liya Hum Kya Karen;
Jaane Wali Cheez Ka Gham Kya Karen;
Hum Ne Mar Kar Hijr Mein Payi Shifa;
Aise Achhon Ka Maatam Kya Karen;
Apne Hi Gham Se Nahi Milti Najaat;
Is Binaa Par Fikr-E-Aalam Kya Karen;
Ek Saaghar Par Hai Apni Zindagi;
Rafta Rafta Is Se Bhi Kam Kya Karen;
Kar Chuke Sab Apni Apni Hikamtein;
Dum Nikalta Ho To Humdum Kya Karen;
Kehte Hain Ahl-E-Sifarish Mujh Se 'Daag';
Teri Kismat Hai Buri Hum Kya Karen! Copy Status
Share On Whatsapp
Kab Ta Dil Kee Khair Manayein Kab Tak Raah Dikhlaoge;
Kab Tak Chain Kee Mohlat Doge Kab Tak Yaad Naa Aaoge;
Beeta Deed Umeed Ka Mausam Khak Udti Hai Aankhon Mein;
Kab Bhejoge Dard Ka Baadal Kab Barkha Barsaoge;
Ahd-E-Wafa Ya Tark-E-Mohabbat Jo Chaho So Aap Karo;
Apne Bas Kee Baat Hi Kya Hai Hum Se Kya Manwaoge;
Kis Ne Vasl Ka Suraj Dekha Kis Par Hijr Kee Raat Dhali;
Gesuon Wale Kaun The Kya The Un Ko Kya Jatlaoge;
'Faiz' Dilon Ke Baag Mein Hai Ghar Bharnaa Bhi Lut Jana Thi;
Tum Is Husn Ke Lutf-o-Karam Par Kitne Din Itraoge! Copy Status
Share On Whatsapp
Socha Nahi Achha Bura
Socha Nahi Achha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi;
Manga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi;
Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe;
Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahi;
Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichaye Raat Bhar;
Bheja Wahi Kagaz Use Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi;
Ek Sham Kee Dehleez Par Baithe Rahe Wo Der Tak;
Aankhon Se Kee Baatein Bahut Munh Se Kaha Kuch Bhi Nahi;
Do Chaar Din Kee Baat Hai Dil Khak Mein So Jayega;
Jab Aag Par Kagaz Rakha Baki Bacha Kuch Bhi Nahi;
Ehsaas Kee Khushbu Kahan, Aawaz Ke Jugnu Kahan;
Khamosh Yaadon Ke Siwa, Ghar Mein Raha Kuch Bhi Nahi! Copy Status
Share On Whatsapp
Is Ada Se Wo Wafaa Karte Hain;
Koi Jaane Ki Wafa Karte Hain;
Humko Chodoge To Pachtaoge;
Hansne Walon Se Hansa Karte Hain;
Ye Batata Nahi Koi Mujhko;
Dil Jo Aa Jaye To Kya Karte Hain;
Husn Ka Haq Nahi Rehta Baki;
Har Ada Mein Wo Ada Karte Hain;
Kis Kadar Hain Teri Aankhein Bebaak;
In Se Fitne Bhi Hya Karte Hain;
Is Liye Dil Ko Laga Rakha Hai;
Is Mein Dil Ko Laga Rakha Hai;
'Daag' Tu Dekh To Kya Hota Hai;
Jabr Par Jabr Kiya Karte Hain! Copy Status
Share On Whatsapp
Itni Muddat Baad
Itni Muddat Baad Mile Ho;
Kin Socho Mein Gum Rahate Ho;
Tez Hawaa Ne Mujh Se Puchaa;
Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho;
Kaun Si Baat Hai Tum Mein Aisi;
Itne Achchhe Kyon Lagte Ho;
Hum Se Na Poocho Hijr Ke Qisse;
Apni Kaho Ab Tum Kaise Ho! Copy Status
Share On Whatsapp
Baat Phoolon Ki Suna Karte The;
Hum Kabhi Sher Kaha Karte The;
Mashalein Lekar Tumhare Gham Kee;
Hum Andheron Mein Chala Karte The;
Ab Kahan Aisi Tabiyat Wale;
Chot Kha Kar Jo Jiya Karte The;
Tark-e-Ehsas-e-Mohabbat Mushkil;
Haan Magar Ahl-e-Wafa Karte The;
Bikhri Bikhri Hui Zulfon Wale;
Kaafile Rok Liya Karte The;
Aaj Gulshan Mein Shagufe "Saghar";
Shikwa Ai Baad-e-Sabaa Karte The! Copy Status
Share On Whatsapp
Ye Hum Bhi Gawara Karte Hain;
Ye Tum Bhi Gawara Kar Lena;
Ro-Ro Ke Guzari Hai Humne;
Tum Hans Ke Guzara Kar Lena;
Betabi Had Se Badh Jaye;
Aur Nind Na Aaye Raaton Ko;
To Doob Ke Meri Yaadon Main;
Duniya Se Kinara Kar Lena;
Jis Waqt Janaza Guzrega;
Us Shaks Ka Tere Kooche Se;
Jazbat Pe Kabu Kar Lena;
Khidki Se Nazara Kar Lena! Copy Status
Share On Whatsapp
Mil Bhi Jaate Hain Toh
Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jaate Hain;
Haye Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain;
Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaaro;
Thokarein Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain;
Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Patthar Bhi Pighal Jaate Hain;
Umar Bhar Jin Kee Wafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jaate Hain! Copy Status
Share On Whatsapp
Koi Naata Na Mohabbat Ke Barabar Nikla,
Toot Kar Chaha Jise Woh Sitamgar Nikla;
Yun To Har Lehar Se Thi Apni Shanasayi Bahut,
Samjha Sahil Jise Woh Gham Ka Samandar Nikla;
Rooh Mein Jhaanka To Yeh Mehsoos Hua Mujh Ko,
Itna Zarkhaiz Jo Lagta Tha Woh Banjar Nikla;
Narmi Hathon Mein Na Garmi Saanson Mein Magar,
Maine Chuu Kar Use Dekha To Woh Patthar Nikla! Copy Status
Share On Whatsapp
Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna;
Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna;
Ehsaas Kee Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna;
Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna;
Raaton Ko Bhatakne Kee Deta Hai Saza Mujhe;
Dushwaar Hai Pehlu Mein, Dil Tere Bina Rakhna;
Logon Ko Nigaahon Se Padh Lene Kee Aadat Hai;
Logon Kee Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna;
Bhuloon Main Agar Aye Dil, Tu Yaad Dila Dena;
Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Hara Rakhna;
Ik Boond Bhi Ashkon Kee Daaman Na Bhigo Paaye;
Gham Us Kee Amaanat Hai, Palkon Pe Sajaa Rakhna;
Iss Tarah 'Qateel' Us Se Bartaao Rahe Apna;
Woh Bhi Na Bura Maane, Dil Ka Bhi Kaha Rakhna! Copy Status
Share On Whatsapp
New status
Hindi Status
Punjabi Status
Video status
More Categories