Gazels In Hindi| Best Gazels Lines and Shayari Reading And Share On whatsapp
Hindi Gazels
Ye Keh Gaye Hain Musafir Lute Gharon Wale,
Dare Hawa Se Parinde Khule Paron Wale;
Ye Mere Dil Kee Hawas Dasht-e-Be-Karan Jaisi,
Vo Teri Aankh Ke Tevar Samandaron Wale;
Hawa Ke Haath Mein Kaase Hain Zard Patton Ke,
Kahan Gaye Vo Sakhi Sabz Chadaron Wale;
Kahan Milenge Vo Agle Dino Ke Shehzade,
Pahan Ke Tan Pe Libaade Gada-Garon Wale;
Pahadiyon Mein Ghire Ye Bujhe Bujhe Raaste,
Kabhi Idhar Se Guzarte The Lashkaron Wale;
Unhi Pe Ho Kabhi Nazil Azaab Aag Ajal,
Vahi Nagar Kabhi Theharen Pyambaron Wale;
Tere Supurd Karun Aaine Muqaddar Ke,
Idhar To Aa Mere Khush-Rang Pattharon Wale;
Kisi Ko Dekh Ke Chup Chup Se Kyon Hue 'Mohsin',
Kahan Gaye Vo Iraade Sukhan-Varon Wale! Copy Status
Share On Whatsapp
Main Bura Hi Sahi Bhala Na Sahi,
Par Teri Kaun See Jafaa Na Sahi;
Dard-e-Dil Hum To Un Se Keh Guzare,
Gar Unhone Nahi Suna Na Sahi;
Shab-e-Gham Mein Bala Se Shugal To Hai,
Naala-e-Dil Mera Rasa Na Sahi;
Dil Bhi Apna Nahi Raha Na Rahe,
Ye Bhi Ai Charkh-e-Fitnaa-Zaa Na Sahi;
Dekh To Lenge Wo Agar Aaye,
Taaqat-e-Arz-e-Muddaa Na Sahi;
Kuch To Aashiq Se Chhed-chhaad Rahi,
Kaj-Adaayi Sahi Adaa Na Sahi;
Kyon Bura Manate Ho Shikwa Mera,
Chalo Be-Jaa Sahi B-Jaa Na Sahi;
Uqada-e-Dil Hamara Ya Kismat,
Na Khula Tujh Se Ai Saba Na Sahi;
Vaaizo Band-e-Khuda To Hai 'Aish',
Hum Ne Maana Wo Parasa Na Sahi!
~ Aish Dehlvi Copy Status
Share On Whatsapp
Ishq Kee Duniya Mein Ek Hungama Barpaa Kar Diya;
Ai Khayal-e-Dost Ye Kya Ho Gaya Kya Kar Diya;
Zarre Zarre Ne Mera Afsana Sun Kar Daad Dee;
Main Ne Vahshat Mein Jahaan Ko Tera Shaida Kar Diya;
Toor Par Raah-e-Wafa Mein Bo Diye Kaante Kaleem;
Ishq Kee Vusaat Ko Masdood-e-Taqazaa Kar Diya;
Bistar-e-Mashriq Se Sooraj Ne Uthayaa Apana Sar;
Kis Ne Ye Mehfil Mein Zikr-e-Husn-e-Yaktaa Kar Diya;
Chashm-e-Nargis Jaa-e-Shabnam Khoon Royegi Nadeem;
Maine Jis Din Gulasitan Ka Raaz Ifsaa Kar Diya;
Mudda-e-Dil Kahun 'Ehasaan' Kis Umeed Par;
Wo Jo Chahenge Karenge Aur Jo Chaha Kar Diya! Copy Status
Share On Whatsapp
Ye Din Bahaar Ke Ab Ke Bhi Raas Na Aa Sake,
Ki Gunche Khil To Sake Khil Ke Muskura Na Sake;
Meri Tabahi Dil Par To Reham Kha Na Saki,
Jo Roshani Mein Rahe Roshani Ko Pa Na Sake;
Na Jaane Aah! Ki Un Aansuon Pe Kya Guzari,
Jo Dil Se Aankh Tak Aaye Mishgaan Tak Aa Na Sake;
Rahen Khulus-e-Mohabbat Ke Haadsaat Jahan,
Mujhe To Kya Mere Naqsh-e-Kadam Mita Na Sake;
KarenNge Mar Ke Baqa-e-Dawaam Kya Hasil,
Jo Zindaa Reh Ke Muqaam-e-Hayat Pa Na Sake;
Naya Zamanaa Banane Chale The Deewane,
Nayi Zameen, Naya Aasmaan Bana Na Sake! Copy Status
Share On Whatsapp
Yeh Narm Narm Hawa Jhilmila Rahe Hain Chirag,
Tere Khyal Kee Khushboo Se Bas Rahe Hain Dimag;
Dilon Ko Tere Tabassum Kee Yaad Yun Aayi,
Ki Jagmaga Uthe Jis Tarah Mandiron Mein Chirag;
Tamaam Shola-E-Gul Hai Tamaam Mauj-E-Bahaar,
Ki Taa-Had-E-Nigaah-E-Shauq Lahlahate Hain Baag;
Nayi Zameen, Naya Aasmaan, Nayi Duniya,
Suna To Hai Ki Mohabbat Ko In Dinon Hai Farag;
Dilon Mein Daag-E-Mohabbat Ka Ab Yeh Aalam Hai,
Ki Jaise Neend Mein Doobe Hon Pichali Raat Chirag;
Firaq Bazm-E-Chiragan Hai Mehfil-E-Rindan,
Saje Hain Pighli Hui Aag Se Chalkate Ayaag!Itna To Dosti Ka Silaah Dijiye Mujhe,
Apna Samajh Ke Zeher Pila Dijiye Mujhe;
Uthe Na Taa-Ke Aap Ki Janib Nazar Koi,
Jitni Bhi Tohmtain Hain Lagaa Dijiye Mujhe;
Kyon Aap Ki Khushi Ko Mera Gham Kare Udaas,
Ik Talkhh Haadsa Hun Bhula Dijiye Mujhe;
Main Aap Ke Kareeb Hi Hota Hun Har Ghadi,
Mauka Kabhi Pade To Sada Dijiye Mujhe;
Har Cheez Dastiyaab Hai Bazaar Mein Adam,
Jhoothi Khushi Khareed Ke La Dijiye Mujhe!
Copy Status
Share On Whatsapp
Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jaate Hain;
Haye Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain;
Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaaro;
Thokarein Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain;
Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Patthar Bhi Pighal Jaate Hain;
Umar Bhar Jin Kee Wafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jaate Hain! Copy Status
Share On Whatsapp
Kabhi Khaamosh Baithoge Kabhi Kuch Gungunaoge,
Main Utana Yaad Aaunga Mujhe Jitna Bhulaoge;
Koi Jab Puch Baithega Khamoshi Ka Sabab Tumse,
Bahut Samjhana Chahoge Magar Samjha Na Paoge;
Kabhi Duniya Mukkamal Ban Ke Aayegi Nigaahon Mein,
Kabhi Mere Kabhi Duniya Kee Har Ek Shah Mein Paoge;
Kahin Par Bhi Rahen Hum Tum Mohabbat Phir Mohabbat Hai,
Tumhein Hum Yaad Aayenge Humein Tum Yaad Aaoge! Copy Status
Share On Whatsapp
Kahaan Tak Aankh Roegi Kahaan Tak Kiska Gham Hoga,
Mere Jaisa Yahan Koi Na Koi Roz Kam Hoga;
Tujhe Paane Kee Koshish Mein Kuch Itna Ro Chuka Hun Main,
Ki Tu Mil Bhi Agar Jaye To Ab Milne Ka Gham Hoga;
Samandar Kee Galatfehmi Se Koi Puch To Leta,
Zameen Ka Haunsala Kya Aise Toofaano Se Kam Hoga;
Mohabbat Naapne Ka Koi Paimana Nahi Hota,
Kahin Tu Badh Bhi Sakta Hai, Kahin Tu Mujh Se Kam Hoga! Copy Status
Share On Whatsapp
Yaaro Kisi Qatil Se Kabhi Pyaar Na Maango,
Apne Hi Gale Ke Liye Talwar Na Maango;
Gir Jaoge Tum Apne Maseeha Kee Nazar Se,
Mar Kar Bhi Ilaaz-e-Dil-e-Beemar Na Maango;
Khul Jayega Is Tarah Nigahon Ka Bharam Bhi,
Kaanton Se Kabhi Phool Kee Mehakaar Na Maango;
Sach Baat Pe Milta Hai Sada Zehar Ka Pyala,
Jeena Hai To Phir Jeene Ke Izhaar Na Maango;
Us Cheez Ka Kya Zikar Jo Mumkin Hi Nahi Hai,
Sehara Mein Kabhi Sayaa-e-Deewar Na Maango! Copy Status
Share On Whatsapp
Yaad Mein Apne Yaar-e-Jaani Kee,
Hum Ne Mar Mar Ke Zindagani Kee;
Dosto Ko Adu Kiya Hum Ne,
Kar Ke Taarif Yaar-e-Jaani Kee;
Kyon Na Ruswaa Kare Zamaane Mein,
Ye Kahani Gham-e-Nahani Kee;
Rooh Hoyegi Hashar Mein Sahab,
Ek Nishani Sara-e-Faani Kee;
Khaak-Saari Se Badh Geya Insaan,
Arz Par Sair Aasmaani Kee;
Zard Surat Pe Hijr Mein Na Hanso,
Sharah Hai Rang-e-Zaafaraani Kee;
Aaj Kal Lakhnow Mein Ai 'Akhtar',
Dhoom Hai Teri Khush-Bayaani Kee! Copy Status
Share On Whatsapp
Ek Pal Mein Ek Sadi Ka Maza Humse Puchiye,
Do Din Kee Zindagi Ka Maza Humase Puchiye;
Bhoole Hai Raftaa-Raftaa Unhe Muddaton Mein Hum,
Kishto Mein Khudkushi Ka Maza Humse Puchiye;
Aagaaz-e-Aashiqui Ka Maza Aap Jaaniye,
Anzaam-e-Aashiqui Ka Maza Humse Puchiye;
Jalte Diyo Mein Jalte Gharon Jaisi Lau Kahan,
Sarkaar Roshani Ka Maza Humase Puchiye;
Wo Jaan Hi Gaye Ki Humein Unse Pyaar Hai,
Aankhon Kee Mukhbari Ka Maza Humse Puchiye;
Hansne Ka Shaunk Humko Bhi Tha Aap Kee Tarah! Copy Status
Share On Whatsapp
Ye Aarzoo Thi Tujhe Gul Ke Rubaru Karte,
Hum Aur Bulbul-e-Betaab Guftagu Karte;
Payaam Bar Na Mayassar Hua To Khoob Hua,
Zubaan-e-Gair Se Kya Shar Kee Aarzoo Karte;
Meri Tarah Se Maah-o-Mahar Bhi Hain Aawara,
Kisi Habeeb Ko Ye Bhi Hain Justaju Karte;
Jo Dekhte Teri Zanjeer-e-Zulf Ka Aalam,
Aseer Hone Ke Aazaad Aarzoo Karte;
Na Puch Aalam-e-Bargashta Tali-e-"Aatish",
Barasati Aag Mein Jo Baaraan Kee Aarzoo Karte! Copy Status
Share On Whatsapp
Meri Saari Zindagi Ko Be'samar Iss Ne Kiya;
Umar Meri Thi Magar,Isko Basar Iss Ne Kiya;
Main Bahut Kamzor Tha Iss Mulq Mein Hijrat Ke Baad;
Par Mujhe Iss Mulq Mein Kamzor'tar Iss Ne Kiya;
Rehbar Mera Bana Gumraah Karne Ke Liye;
Mujhko Seedhe Raaste Se Darbadar Iss Ne Kiya;
Shehar Mein Woh Moatbir Meri Gawahi Se Hua;
Phir Mujhe Iss Shehar Mein Na'moatbir Iss Ne Kiya;
Shehar Ko Barbaad Kar Ke Rakh Diya Iss Ne 'Munir';
Shehar Per Yeh Zulm Mere Naam Par Iss Ne Kiya! Copy Status
Share On Whatsapp
Dhoop Bahut Hai Mausam Jal-Thal Bhejo Na,
Baba Mere Naam Ka Baadal Bhejo Na;
Molsari Kee Shaakhon Par Bhi Diye Jalen,
Shaakhon Ka Kesaraya Aanchal Bhejo Na;
Nanhi Munni Sab Chehkarein Kahaan Gayi,
Moron Ke Pairon Kee Payaal Bhejo Na;
Basti Basti Dehshat Kisne Bo Di Hai,
Galiyon Bazaaron Kee Hulchal Bhejo Na;
Saare Mausam Ek Umas Ke Aadi Hain,
Chhaanv Kee Khushbu, Dhoop Ka Sandal Bhejo Na;
Main Basti Mein Aakhir Kis Se Baat Karun,
Mere Jaisa Koi Paagal Bhejo Na! Copy Status
Share On Whatsapp
Dushman Kee Dosti Hai Ab Ahale Vatan Ke Saath,
Hai Ab Khijaan Chaman Mein Naye Pairahan Ke Saath;
Sar Par Hawaye Zulm Chale Sau Yatan Ke Saath,
Apni Kulaah Kaj Hai Usi Baankpan Ke Saath;
Kisne Kaha Ki Toot Geya Khanzare Phirang,
Seene Pe Zakhme Nau Bhi Hai Daage Kuhan Ke Saath;
Jhonke Jo Lag Rahe Hain Naseeme Bahaar Ke,
Jumbish Mein Hai Kafas Bhi Aseere Chaman Ke Saath;
Majrooh Kaafale Ki Mere Daastaan Ye Hai,
Rehbar Ne Mil Ke Loot Liya Raahajan Ke Saath! Copy Status
Share On Whatsapp
Ulti Ho Gayi Sab Tadbeerein Kuchh Na Dawa Ne Kaam Kiya,
Dekha ! Is Beemaari-E-Dil Ne Aakhir Kaam Tammam Kiya;
Ahad-E-Jawaani Ro Ro Kaata, Peeri Mein Li Aankhein Moond,
Yaani Raat Bahut The Jaage, Subah Huyi Aaraam Kiya;
Naahak Ham Majbooron Par Yeh Tohmat Hai Mukhtaari Ki,
Chaahte Hain So Aap Kare Hain Hamko Abas Badnaam Kiya;
Yaan Ke Sapaid-O-Siyaah Mein Hamko Dakhl Jo Hai So Itna Hai,
Raat Ko Ro Ro Subah Kiya Ya Din Ko Jun Tun Shaam Kiya;
'Meer' Ke Deen-O-Mazhab Ko Ab Poocho Kya Ho Un Ne To,
Kashqaan Khaincha, Deher Mein Baitha, Kab Ka Tarq-Islaam Kiya! Copy Status
Share On Whatsapp
Hans Ke Farmaate Hain Wo Dekh Kar Halat Meri,
Kyon Tum Aasaan Samajhate The Mohabbat Meri;
Baad Marane Ke Bhi Chhodi Na Rafaaqat Meri,
Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri;
Maine Aagosh-e-Tasavur Mein Bhi Khencha To Kaha,
Pis Gayi Pis Gayi Bedard Nazakat Meri;
Aaina Subah-e-Shab-e-Vasl Jo Dekha To Kaha,
Dekh Zaalim Ye Thi Shaam Ko Soorat Meri;
Yaar Pehalu Mein Hai Tanhayi Hai Keh Do Nikle,
Aaj Kyon Dil Mein Chhupi Baithi Hai Hasrat Meri;
Husn Aur Ishq Hum Aagosh Nazar Aa Jaate,
Teri Tasveer Mein Khinch Jaati Jo Hairat Meri;
Kis Dhitaayi Se Vo Dil Chheen Ke Kehte Hain 'Ameer',
Vo Mera Ghar Hai Rahe Jis Mein Mohabbat Meri! Copy Status
Share On Whatsapp
Ik Aaalam-E-Hijraan Hi Ab Hum Ko Pasand Aaya,
Yeh Khaana-E-Viraaan Hi Ab Hum Ko Pasand Aaya;
Benaaam-O-Nishaan Rehna Ghurbat Ke Ilaaqe Main,
Yeh Sheher Bhi Dilkash Tha Tab Hum Ko Pasand Aaya;
Tha Laal Hua Manzar Sooraj Ke Nikalne Se,
Woh Waqt Tha Woh Chehra Jab Hum Ko Pasand Aaya;
Hai Qataa-E-Talluq Se Dil Khush To Bahut Apna,
Ik Hadh Hi Banaa Lena Kab Hum Ko Pasand Aaya;
Aana Woh 'Munir' Us Ka Be-Khauf-O-Khatar Hum Tak,
Yeh Turfaa Tamaasha Bhi Shab Hum Ko Pasand Aaya! Copy Status
Share On Whatsapp
Aye Dost Teri Aankh Jo Nam Hai To Mujhe Kya,
Main Khoob Hansunga Tujhe Gham Hai To Mujhe Kya;
Kya Main Ne Kaha Tha Ki Zamane Se Bhala Kar,
Ab Tu Bhi Sazavar-e-Sitam Hai To Mujhe Kya;
Haan Le Le Kasam Gar Mujhe Qatra Bhi Mila Ho,
Tu Shaaki-e-Arbaab-e-Karam Hai To Mujhe Kya;
Jis Dar Se Nidamat Ke Siva Kuch Nahi Milta,
Us Dar Pe Tera Sar Bhi Jo Khham Hai To Mujhe Kya;
Maine To Pukara Hai Mohabbat Ke Ufaq Se,
Raaste Mein Tere Sang-e-Haram Hai To Mujhe Kya;
Bhoola To Na Hoga Tujhe Suqraat Ka Anjaam,
Haathon Mein Tere Saaghar-e-Sam Hai To Mujhe Kya;
Patthar Na Paden Gar Sar-e-Bazaar To Kehna,
Tu Motarif-e-Husn-e-Sanam Hai To Mujhe Kya;
Main Sarmad-o-Mansoor Bana Hun Teri Khaatir,
Yeh Bhi Teri Umeed Se Kam Hai To Mujhe Kya! Copy Status
Share On Whatsapp
Zara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon Mein,
Phir Us Ke Baad Musalsal Azaab Aankhon Mein;
Wo Jis Ke Naam Kee Nisbat Se Roshani Tha Wujood,
Khattak Raha Hai Wohi Aaftaab Aankhon Mein;
Jinhen Mata-E-Dil-O-Jaan Samajh Rahe The Hum,
Wo Aaine Bhi Hue Behijab Aankhon Mein;
Ajab Tarah Ka Hai Mausam Kee Khak Udti Hai,
Wo Din Bhi The Ki Khile The Gulab Aankhon Mein;
Mere Ghazal Teri Wahshaton Kee Khair, Ke Hai,
Bahut Dinon Se Bahut Iztarab Aankhon Mein;
Na Jane Kaisi Qayamat Ka Peshkhema Hai,
Ye Uljhanein Teri Be-Intasaab Aankhon Mein! Copy Status
Share On Whatsapp
Phool Jaise Makhmali Talawo Mein
Phool Jaise Makhmali Talawo Mein Chhale Kar Diye;
Gore Suraj Ne Hazaro Jism Kaale Kar Diye;
Pyaas Kaise Bujhegi Humne Khud Hi Bhool Se;
Maikade Kamzarf Logo Ke Hawale Kar Diye;
Dekh Kar Tujh Ko Koi Manzar Na Dekha Umar Bhar;
Ek Ujaale Ne Meri Aankhon Mein Jaale Kar Diye;
Roshni Ke Devta Ko Pujta Tha Kal Talak;
Aaj Ghar Kee Khidkiyon Ke Kaanch Kaale Kar Diye;
Zindgi Ka Koi Bhi Tohfa Nahi Hai Mere Paas;
Khoon Ke Aansu To Ghazlo Ke Hawale Kar Diye! Copy Status
Share On Whatsapp
Chaand Sitaron Se Kya Puchu Kab Din Mere Firte Hain;
Wo To Bechare Khud Hain Bikhari, Dere-Dere Firte Hain;
Jin Galiyon Mein Hum Ne Sukh Kee Sej Pe Raate Kaati Thi;
Un Galiyon Mein Vyakul Hokar Saanjh Savere Firte Hain;
Roop-Saroop Kee Jot Jagana Is Nagari Mein Zokhim Hai;
Chaaro Khunt Bagule Ban Kar Ghor Andhere Firte Hain;
Jin Ke Shaam-Badan Saaye Mein Mera Man Sustaya Tha;
Ab Tak Aankhon Ke Aage Wo Bal Ghanere Firte Hain;
Koi Humein Bhi Ye Samjha Do Un Par Dil Kyon Reejh Geya;
Teekhi Chitwan Baanki Shab Wale Bahutere Firte Hain;
Is Nagri Mein Baag Aur Ban Ki Yaaro Leela Nayari Hai;
Panchi Apne Sar Pe Uthakar Apne Basere Firte Hain;
Log To Daman Si Lete Hai Jaise Ho Jee Lete Hain;
'Abid' Hum Deewane Hain Jo Baal Bikhere Firte Hain! Copy Status
Share On Whatsapp
Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaaro;
Ki Main Zameen Ke Rishton Se Kat Geya Yaaro;
We Be-Khayal Musafir Main Raasta Yaaro;
Kahan Tha Bas Mein Mere Use Rokna Yaaro;
Mere Kalam Pe Zamae Kee Gard Aisi Thi;
Ki Apne Baare Mein Kuch Bhi Na Likh Saka Yaaro;
Tamam Shehar Hi Uski Talaash Mein Ghum Tha;
Main Uske Ghar Ka Pata Kis Se Puchta Yaaro;
Jo Beshumar Dilon Ki Nazar Mein Rehta Hai;
Wo Apne Bachhon Ko Ek Ghar Na De Saka Yaaro;
Janab-e-Meer Ko Khudrajiyon Mein;
Miyan 'Wasim'Ke Kehne Ko Kya Bacha Yaaro! Copy Status
Share On Whatsapp
Gazab Kiya, Tere Vaade Pe Aitbaar Kiya;
Tamaam Raat Qayamat Ka Intezar Kiya;
Hansa Hansa Ke Shab-e-Vasl Ashkbaar Kiya;
Tasaliya Mujhe De De Ke Beqaraar Kiya;
Hum Aise Mahv-e-Nazara Na The Jo Hosh Aata;
Magar Tumhare Tagaful Ne Hoshiyar Kiya;
Fasana-e-Shab-e-Gham Unko Ek Kahani Thi;
Kuch Aitabaar Kiya Aur Kuch Na-Aitabaar Kiya;
Ye Kisne Jalwa Hamare Sar-e-Mazaar Kiya;
Ki Dil Se Shor Utha, Haaye! Beqaraar Kiya;
Tadap Phir Ai Dil-e-Nadan, Ki Gair Kehte Hain;
Aakhir Kuch Na Bani, Sabr Ikhtiyaar Kiya;
Kuch Aage Daawar-e-Mahshar Se Hai Umeed Mujhe;
Kuch Aap Ne Mere Kehne Ka Aitabaar Kiya! Copy Status
Share On Whatsapp
Zindagi Is Tarah
Zindagi Is Tarah Guzarate Hain;
Karz Hai Aur Use Utarate Hain;
Wasl Pe Shart Baandh Lete Hain;
Aur Yeh Shart Roz Haarte Hain;
Aaino Mein To Aks Hai Khud Ka;
Log Patthar Yeh Kisko Maarte Hain;
Kitne Dil Is Mein Gundh Lete Hain;
Zulf-e-Khugar Ko Jab Swarate Hain;
Ek Baazi Pe Bhool Mat Jana;
Pesh-e-Fatah Bhi Log Haarte Hain! Copy Status
Share On Whatsapp
New status
Hindi Status
Punjabi Status
Video status
More Categories