Gazels In Hindi| Best Gazels Lines and Shayari Reading And Share On whatsapp
Hindi Gazels
Aur Bhi Ho Gaye Begana Wo Gaflat Karke;
Aazamaya Jo Unhein Tark-e-Mohabbat Karke;
Dil Ne Chhodaa Hai Na Chhode Tere Milne Ka Khayal;
Baaraha Dekh Liya Humne Malamat Karke;
Ruh Ne Payi Hai Takleef-e-Judai Se Nijaat;
Aapki Yaad Ko Saramaya-e-Rahat Karke;
Chhed Se Ab Wo Ye Kehte Hain Ki Sambhlo 'Hasarat';
Sabr-o-Taab-e-Dil-Beemaar Ko Garat Karke! Copy Status
Share On Whatsapp
Nigahein Naaz Ne Parde Uthaye Hain Kya-Kya;
Hijaab Ahle Mohabbat Ko Aaye Hain Kya-Kya;
Jahaan Mein Thi Bas Ek Afwah Tere Jalwon Kee;
Charag-e-Dair-o-Haram Jhilmilaein Hai Kya-Kya;
Kahin Charag, Kahin Gul, Kahin Dil Barbaad;
Kheramein Naaz Ne Kitne Uthaye Hain Kya-Kya;
Payamein Husn, Payamein Junoon, Payamein Fana;
Teri Nigah Ne Phasane Sunaye Hain Kya-Kya;
'Firaq' Raahe Wafa Mein Sabak Ravi Teri;
Bade Badon Ke Kadam Dagmagaein Hain Kya-Kya! Copy Status
Share On Whatsapp
Dil Ne Ek Ek Dukh Saha Tanha;
Anjuman Anjuman Raha Tanha;
Dhalte Saayon Mein Tere Kooche Se;
Koi Guzra Hai Badha Tanha;
Teri Aahat Kadam Kadam Aur Main;
Is Maiyat Mein Bhi Raha Tanha;
Kehana Yaadon Ke Barf-Zaaron Se;
Ek Aansu Baha Baha Tanha;
Doobte Sahilon Ke Mod Pe Dil;
Ik Khandar Sa Raha Saha Tanha;
Goonjta Reh Geya Khalaon Mein;
Waqt Ka Ek Kehkaha Tanha! Copy Status
Share On Whatsapp
Rooh Pyaasi Kahan Se Aati Hai;
Ye Udasi Kahan Se Aati Hail;
Dil Hai Shab Do Ka To Ai Umeed;
Tu Nidasi Kahan Se Aati Hai;
Shauk Mein Aish-e-Vatl Ke Hangaam;
Naashiphasi Kahan Se Aati Hai;
Ek Zindaan-e-Bedili Aur Shaam;
Ye Sabasi Kahan Se Aati Hai;
Tu Hai Pehalu Mein Phir Teri Khushbu;
Hoke Baasi Kahan Se Aati Hai! Copy Status
Share On Whatsapp
Koi Keh De
Koi Keh De Mere Dil Ki Baat Unse;
Har Taraf Se Hui Dil Ki Maat Unse;
Jaan-Pehchan Hi Kara De Gar Koi;
Ek-Ek Lamhe Ki Ho Shuruaat Unse;
Log Puchte Hain Muskuraht Ki Wajah;
Hamne Kaha Hui Hai Mulakat Unse;
Khoya Hua Raha Main Aaz Talak;
Ab Mila Do Mere Jazbaat Unse;
Karenge Chand Se Kuchh Baatein Hum Bhi;
Milte Hue Dekha Hai Har Raat Unse! Copy Status
Share On Whatsapp
Phool The Baadal Bhi Tha Aur
Phool The Baadal Bhi Tha Aur Vo Haseen Soorat Bhi Thi,
Dil Mein Lekin Aur Hi Ek Shakal Kee Hasrat Bhi Thi;
Jo Hawa Mein Ghar Banaye Kaash Koi Dekhta,
Dasht Mein Rehte The Par Taameer Kee Aadat Bhi Thi;
Keh Geya Main Samane Us Ke Jo Dil Ka Mudda,
Kuch To Mausam Bhi Ajab Tha Kuch Meri Himmat Bhi Thi;
Ajanabi Sheharon Mein Rehte Umr Saari Kat Gayi,
Go Zara Se Fansale Par Ghar Kee Har Rahat Bhi Thi;
Kya Qayamat Hai 'Munir' Ab Yaad Bhi Aate Nahi,
Vo Purane Aashna Jin Se Humein Ulfat Bhi Thi! Copy Status
Share On Whatsapp
Yun Hi Si Ek Baat Thi, Us Ka Malal Kya Karein,
Meer-e-Kharaab Haal Sa Apna Bhi Haal, Kya Karein;
Aisi Fiza Ke Qahar Mein Aisi Hawa Ke Zehar Mein,
Zinda Hain Aise Shehar Mein Aur Kamaal Kya Karein;
Aur Bahut See Ulajhane Tuk-o-Ras Se Badh Ke Hain,
Zikr-e-Zamal Kya Kare, Fikr-e-Visaal Kya Karein;
Dhoondh Liye Hain Charagar Humne Diyar-e-Gair Mein,
Ghar Mein Hamara Kaun Hai, Ghar Ka Khyal Kya Karein;
Chunte Hai Dil Kee Kirachiyan Bikhari Hain Jo Yahan-Vahan,
Hona Tha Ek Din Yahi, Ranj-Maal Kya Karein;
Uski Nazar Mein Qaid Hain Apni Tamaam Muntakin,
Tek-e-Khyaal Kya Karein, Harf Kee Dhaal Kya Karein! Copy Status
Share On Whatsapp
Apni Tanhayi Mere Naam Pe Abaad Kare,
Kaun Ho Ga Jo Mujhe Uss Ki Tarah Yaad Kare,
Dil Ajab Sheher Ke Jis Pr Bhi Khula Dar Us Ka,
Woh Musaafir Isse Har Samt Se Barbaad Kare,
Apne Qaatil Ki Zehaanat Se Pareshaan Hoon Main,
Roz Ik Maut Naye Tarzz Ki Ijaad Kare,
Itna Hairaan Ho Meri Be-Talabbi Ke Aagey,
Waa Qaffass Main Koi Dar Khud Mera Sayaad Kare,
Salb-E-Binaayi Ke Ehkaam Mile Hain Jo Kabhi,
Roshni Chhuune Ki Khawhish Koi Shab-Zaad Kare,
Soch Rakhnaa Bhi Jaraayem Main Hai Shaamil Ab To,
Wohi Maasoom Hai Har Baat Pe Jo Saad Kare,
Jab Lahuu Bol Parre Us Ke Gavaahon Ke Khilaaf,
Qaazi-E-Sheher Kuch Is Baab Main Irshaad Kare,
Uss Ki Muthi Main Bohat Roz Raha Mera Wajood,
Mere Saahir Se Kaho Ab Mujhe Aazaad Kare! Copy Status
Share On Whatsapp
Wo Khafa Hain To Koi Baat Nahi,
Ishq Mohtaaj-e-Iltfhaq Nahi;
Dil Bujha Ho Agar To Din Bhi Hai Raat Nahi,
Din Ho Roshan To Raat Raat Nahi;
Dil-e-Saaki Main Todu-e-Vaail,
Ja Mujhe Khwahish-e-Najaat Nahi;
Aisi Bhuli Hai Qaynaat Mujhe,
Jaise Main Jisb-e-Qaynaat Nahi;
Peer Kee Basti Ja Rahi Hai Magar,
Sabko Ye Veham Hai Ki Raat Nahi;
Mere Layak Nahi Hayaat 'Khumar';
Aur Main Layak-e-Hayaat Nah! Copy Status
Share On Whatsapp
Kyon Phir Rahe Ho Kaif Ye Khatre Ka Ghar Liye,
Ye Kaanch Ka Shareer Ye Kaagaz Ka Sar Liye;
Sholey Nikal Rahe Hain Gulabon Ke Jism Se,
Titali Na Ja Kareeb Ye Resham Ke Par Liye;
Jaane Bahaar Naam Hai Lekin Ye Kaam Hai,
Kaliyan Taraash Lee To Kabhi Gul Qatar Liye;
Ranjhaa Bane Hain, Kais Bane, Kohakan Bane,
Humne Kisi Ke Vaaste Sab Roop Dhar Liye;
Na Meharabane Shehar Ne Thukra Diya Mujhe,
Main Phir Raha Hun Apna Makaan Dar-B-Dar Liye! Copy Status
Share On Whatsapp
Giri Is Tabassum Ki Bijali Ajal Par;
Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara;
Justjoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ai Bulbul Mujhe;
Khoobi-e-Qismat Se Aakhir Mil Gaya Woh Gul Mujhe;
Parwana Tujhse Karta Hai Ai Shama Pyaar Kyon;
Ye Jaane Beqaraar Hai Tujh Par Nisar Kyon;
Qismat Buri Sahi Par Tabiyat Buri Nahin;
Hai Shukr Ki Jagah Ki Shikayat Nahin Mujhe;
Zulm Hai Gar Na Do Sakun Ki Daad;
Qahar Hai Gar Karona Mujhko Pyaar;
Hoga Koi Aisa Bhi Ki Ghalib Ko Na Jaane;
Shayar Toh Wah Achchha Hai Par Badnaam Bahut Hai! Copy Status
Share On Whatsapp
Dil Mein Mehak Rahe Hain Kisi Aarzoo Ke Phool;
Palkon Pe Khilnewale Hain Shayad Lahoo Ke Phool;
Ab Tak Hai Koi Baat Mujhe Yaad Harf-Harf;
Ab Tak Main Chun Raha Hoon Kisi Guftagoo Ke Phool;
Kaliyan Chatak Rahi Thi Ki Aawaz Thi Koi;
Ab Tak Sma-Ato Mein Hai Ik Khushguloo Ke Phool;
Mere Lahoo Ka Rang Hai Har Noke-Khar Par;
Sehra Mein Har Taraf Hai Meri Justaju Ke Phool;
Deewane Kal Jo Log The Phoolon Ke Ishq Mein;
Ab Unke Daaman Mein Bharein Hain Rafoo Ke Phool! Copy Status
Share On Whatsapp
Koi Samajhaiye Ki Kya Rang Hai Maikhane Ka,
Aankh Saqi Ke Uthe, Naam Ho Paimane Ka;
Garmi-e-Shama Ka Afsana Sunane Walo,
Raqs Dekha Nahi Tum Ne Abhi Parwane Ka;
Chashm-e-Saqi Mujhe Har Gham Pe Yaad Aati Hai,
Raasta Bhool Na Jaun Kahin Maikhane Ka;
Ab To Har Sham Guzarti Hai Isi Kuche Mein,
Ye Nateeza Hua Naseh Tere Samajhane Ka;
Ab To Har Manzil Se Guzarna To Hai Aasan 'Iqbal',
Ishq Hai Naam Khud Apne Se Guzar Jane Ka! Copy Status
Share On Whatsapp
Aashiqon Ko Ai Falak Devega Tu Aazaar Kya;
Dushman-e-Jaan Un Ka Thoda Hai Dil-e-Beemar Kya;
Rashk Aave Kyon Na Mujh Ko Dekhana Us Kee Taraf;
Takataki Baandhe Hue Hai Rozan-e-Deewar Kya;
Aah Ne To Kheema-e-Gardon Ko Phoonka Dekhen Ab;
Rang Laate Hain Hamare Deeda-e-Khoon-Baar Kya;
Murg-e-Dil Ke Vaaste Ai Hum-Safeero Kam Hai Kyon;
Kuch Kaza Ke Teer Se Teer-e-Nigah-e-Yaar Kya;
Chal Ke Mai-Khaane Hi Mein Ab Dil Ko Bahlao Zara;
'Aish' Yaa Baithe Hue Karte Ho Tum Begaar Kya! Copy Status
Share On Whatsapp
Chand Tahniyon Ke Kafan Pe, Syahi Ki Kaalikh Mal Dete Hain,
Khyaal "Raaz" Ke Bejeaa, Kyon Bezubaan Ki Laash Masal Dete Hain;
Daur-O-Jaam Ki Mehfilon Mein, Saagaro Minaa Tak Hain Sab Aziz,
Ashk Chalkein To Hum Sharminda, Woh Sar Jhatakte Hain, Chal Dete Hain;
Ghamgusaari To Ki Aksar, Sochta Hun Ki Chand Pareshaniyan Meri Bhi To Hain,
Hazi, Qazi, Niyazi Koi Ho, Kuch To Aise Milao Jo 'Hal' Dete Hain;
Nekdili, Saafgoi, Dayanat Ke Sab Jazbon Ko Kitabon Mein Hi Rehne Den,
Tazurba Hai, Bargalate Hain Aalim Kehkar, Ki Inka Farishte 'Fal' Dete Hain;
Ye Jalwa-E-Husn, Ye Chamak, Ye Nazare Jahan Ke, "Raaz" Ke Vaaste Na Bhi Sahi,
Itna To Humein Bhi Myssar, Maula Maula Kehte Bhi Khyaal To Machal Dete Hain! Copy Status
Share On Whatsapp
Is Ada Se Wo Wafaa Karte Hain;
Koi Jaane Ki Wafa Karte Hain;
Humko Chodoge To Pachtaoge;
Hansne Walon Se Hansa Karte Hain;
Ye Batata Nahi Koi Mujhko;
Dil Jo Aa Jaye To Kya Karte Hain;
Husn Ka Haq Nahi Rehta Baki;
Har Ada Mein Wo Ada Karte Hain;
Kis Kadar Hain Teri Aankhein Bebak;
In Se Fitne Bhi Hya Karte Hain;
Is Liye Dil Ko Laga Rakha Hai;
Is Mein Dil Ko Laga Rakha Hai;
'Daagh' Tu Dekh To Kya Hota Hai;
Jabr Par Jabr Kiya Karte Hain! Copy Status
Share On Whatsapp
Tere Khyaal Mein Kuch Aise Gum Raha Barson;
Main Apne Aap Se Bhi Mil Nahin Saka Barson;
Kahin Woh Zaaiqa Tehleel Hi Na Ho Jae;
Main Tum Se Mil Kar Kisi Se Nahi Mila Barson;
Kaha Tha Tum Ne Ke Tum Laut Ke Aaoge Ek Din;
So Main Jahaan Tha Wahin Par Khada Raha Barson;
Tere Baghair Meri Umar Raayegaan Guzri;
Koi Bhi Kaam Nahin Theek Se Hua Barson;
Tumhare Haath Kee Dastak Kee Aaas Mein 'Mohsin';
Main Apne Ghar Se Kahin Bhi Nahin Geya Barson! Copy Status
Share On Whatsapp
Chal Diye Uth Ke Su-e-Shehar-e-Wafa Ku-e-Habib;
Puch Lena Tha Kisi Khak Basar Se Pehle;
Ishq Pehle Bhi Kiya Hijr Ka Gham Bhi Dekha;
Itne Tadpe Hain Na Ghabraye Na Tarse Pehle;
Jee Bahalta Hi Nahin Ab Koi Saath Koi Pal;
Raat Dhalti Hi Nahin Char Pahar Se Pehle;
Ham Kisi Dar Pe Na Thithak Na Kahin Dastak Di;
Saikadon Dar The Meri Jaan Tere Dar Se Pehle;
Chand Se Ankh Mili Jee Ka Ujala Jaga;
Hum Ko So Bar Hui Subah Sahar Se Pehle! Copy Status
Share On Whatsapp
Tamanaaon Main Uljhaaya Geya Hoon,
Khilone De Ke Behlaaya Geya Hoon;
Hoon Iss Kuuche Ke Har Zaray Se Waqif,
Idhar Se Mudatton Aaya Geya Hoon;
Nahin Uthte Qadam Kyun Jaanib-E-Dair,
Kisi Masjid Main Behkaaya Geya Hoon;
Dil-E-Muztar Se Pooch Ae Raunak-E-Bazm,
Main Khud Aaya Nahin Laaya Geya Hoon;
Savera Hai Bohat Ae Shor-E-Mehshar,
Abhi Bekaar Uthvaaya Geya Hoon;
Sataya Aa Ke Pehron Aarzuu Ne,
Jo Dum Bhar Aap Main Paaya Geya Hoon;
Kuja Main Aur Kuja Ae Shad Duniya,
Kahan Se Kis Jagah Laaya Geya Hoon! Copy Status
Share On Whatsapp
Unhe Sawal Hi Lagata Hai Mera Rona Bhi,
Ajab Saza Hai Jahaan Mein Gareeb Hona Bhi;
Ye Raat Bhi Hai Odhana-Bichona Bhi,
Is Ek Raat Mein Hai Jaagna Bhi Sona Bhi;
Ajeeb Shehar Hai Ki Ghar Bhi Raaston Kee Tarah,
Kaisa Naseeb Hai Raaton Ko Chup Ke Rona Bhi;
Khule Mein Soyenge Motiya Ke Phoolon Se,
Sajaa Lo Zulf Basa Lo Zara Bichona Bhi;
'Aziz' Kaisi Yeh Saudagaron Kee Basti Hai,
Garaan Hai Dil Se Yahan Kaath Ka Khilona Bhi! Copy Status
Share On Whatsapp
Gul Tera Rang Churaa Laye Hain Gulzaron Mein,
Jal Raha Hun Bhari Barsaat Kee Baucharon Mein;
Mujhse Katra Ke Nikal Ja, Magar Ai Jaan-e-Haya,
Dil Kee Lau Dekh Raha Hun Tere Rukhsaron Mein;
v Husn-e-Begana-e-Ehsaas-Jamaal Achhaa Hai,
Gunche Khilate Hain To Bik Jaate Hain Bazaaron Mein;
Jikr Karte Hain Tera Mujhse Ba-Unvaan-e-Jafaa,
Charagar Phool Piro Laye Hain Talwaron Mein;
Zakham Chhup Sakte Hain Lekin Mujhe Fan Hi Saugandh,
Gham Kee Daulat Bhi Hai Shaamil Mere Shahkaron Mein;
Mujhko Nafarat Se Nahi Pyaar Se Masloob Karo,
Main To Shaamil Hun Mohabbat Ke Gunahwaron Mein! Copy Status
Share On Whatsapp
Hijr Kee Shab Mein Qaid Kare Yaa Subh-e-Visal Mein Rakhe,
Achha Maula Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhe;
Khel Ye Kaisaa Khel Rahi Hai Dil Se Teri Mohabbat,
Ik Pal Kee Sarshari De Aur Dino Malaal Mein Rakhe;
Maine Sari Khushbuein Aanchal Se Baandh Ke Rakhi,
Shayad In Ka Jikr Tu Apne Kisi Sawal Mein Rakhe;
Kis Se Tere Aane Kee Sargoshi Ko Sunte Hi,
Maine Kitne Phool Chune Aur Apni Shaal Mein Rakhe;
Mushkil Ban Kar Toot Padi Hai Dil Par Ye Tanhayi,
Ab Jaane Ye Kab Tak Us Ko Apne Jaal Mein Rakhe Copy Status
Share On Whatsapp
Uljhe Na Zulf Se Jo Pareshaniyon Mein Hum,
Karte Hain Is Pe Naaz Ada-Daniyon Mein Hum;
Saragarm-Raqs-Tazaa Hain Kurbaniyon Mein Hum,
Shokhi Se Kiski Aaye Hain Jolaniyon Mein Hum;
Sabit Hai Jurme-Shikwa Na Zahir Gunahe-Rashq,
Hairan Hain Aap Apni Pareshaniyon Mein Hum;
Maare Khushi Ke Mar Gaye Subahe-Shabe-Firaaq,
Kitne Subuk Hue Hain Garaan-Jaaniyon Mein Hum;
Aata Hai Khwaab Mein Bhi Teri Zulf Ka Khyaal,
Betaur Ghir Gaye Hain Pareshaniyon Mein Hum;
Dekha Idhar Ko Tune Ki Bas Dam Nikal Geya,
Utare Nazar Se Apni Nigahabaniyon Mein Hum! Copy Status
Share On Whatsapp
Din Muradon Ke Aish Kee Raatein,
Haye Kya Ho Gayi Wo Barsaatein;
Raat Ko Baag Mein Mulaqaatein,
Yaad Hain Jaise Khwaab Kee Baatein;
Hasratein Sard Aahein Garm Aansu,
Layi Hai Barshagaal Saugatein;
Khwar Hain Yun Mere Shabaab Ke Din,
Jaise Jaadon Kee Chandni Raatein;
Dil Ye Kehta Hai Kunj-e-Raahat Hun,
Dekhna Gham-Naseeb Kee Baatein;
v Jin Ke Dam Se Shabaab Tha Zinda,
Hai 'Akhtar' Wo Ishq Kee Ghaatein! Copy Status
Share On Whatsapp
Khayaal-e-Husn Mein Yun Zindagi Tamaam Hui,
Haseen Subah Hui Aur Haseen Shaam Hui;
Baqaar-e-Ishq Bas Ab Sar Jhuka De Kadamon Par,
Udhar Se Tere Liye Sabaqat-e-Salaam Hui;
Har Ek Apni Jagah Khush Har Ek Yahi Samajha,
Nigah-e-Khaas B-Tarz-e-Nigaah-e-Aam Hui;
Nazar Mili To Tabassum Raha Khamoshi Par,
Nazar Phiri To Zara Himmat-e-Kalaam Hui;
Bas Ab To Tum Ne Mohabbat Ka Le Liya Badla,
Maaf Karna Jo Takleef-e-Inteqam Hui;
Hai Dekhne Hi Ka Waqfa Jise Samajhte Hain,
'Raza' Wo Dhoop Chadhi Din Dhala Wo Shaam Hui! Copy Status
Share On Whatsapp
New status
Hindi Status
Punjabi Status
Video status
More Categories