Gazels In Hindi| Best Gazels Lines and Shayari Reading And Share On whatsapp
Hindi Gazels
Baat Karni Mushkil
Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi;
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi;
Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar;
Be Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi;
Teri Aankhon Ne Khuda Jane Kya Kya Jadu;
Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aisi To Na Thi;
Kya Sbab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar;
Kho Teri Hoor Shmail Kabhi Aisi To Na Thi!
Share On Whatsapp
Tumhari Yaad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte Hain;
Kisi Bahane Tumhein Yaad Karne Lagte Hain;
Hadis-e-Yaar Ke Unavan Nikharane Lagte Hain;
To Har Harim Mein Gesu Sanwarne Lagte Hain;
Har Ajnabi Humein Mehram Dikhai Deta Hai;
Jo Ab Bhi Teri Gali Se Guzarne Lagte Hain;
Saba Se Karte Hain Gurbat-Nasib Zikr-e-Vatan;
To Chashm-e-Subah Mein Aansu Ubharne Lagte Hain;
Wo Jab Bhi Karte Hain Is Nutq-o-Lab Kee Bakhiyagari;
Faza Mein Aur Bhi Nagme Bikharne Lagte Hain;
Dar-e-Qafas Pe Andhere Kee Mohar Lagti Hai;
To 'Faiz' Dil Mein Sitare Utarane Lagte Hain!
Share On Whatsapp
Tere Naam Se Mohabbat
Tere Naam Se Mohabbat Kee Hai;
Tere Ehsaas Se Mohabbat Kee Hai;
Tum Pass Nahi Ho Mere Phir Bhi;
Tumhari Yaad Se Mohabbat Kee Hai;
Kabhi Tumne Bhi Mujhe Yaad Kiya Hoga;
Maine Un Lamhaat Se Mohabbat Kee Hai;
Tum Se Milna To Ek Khwaab Sa Lagta Hai;
Maine Tumhare Intezar Se Bhi Mohabbat Kee Hai!
Share On Whatsapp
Ye Zamane Kee Wafaye
Ye Zamane Kee Wafaye Mere Kaam Kee Nahi;
Mujhe Uski Wafa Chahiye Kisi Aam Kee Nahi;
Uski To Ek Muskurahat Bhi Anmol Thi;
Ye Tamam Muskurahate Kisi Daam Ki Nahi;
Mujhe Gham Hai To Uske Chale Jaane Ka;
Parwah Mujh Par Lage Kisi Ilzaam Kee Nahi;
Mera Haath Dekh Kar Rabb Ye Bola;
Bahut Si Chahate Tere Liye Hai Baki;
Lekin, Tere Haath Mein Koi Bhi Lakir Uske Naam Kee Nahi!
Share On Whatsapp
Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Un Kee Yaad;
Dard Ban Kar Chaa Rahi Hai Un Kee Yaad;
Ishq Se Ghabra Rahi Hai Un Kee Yaad;
Rukte-Rukte Aa Rahi Hai Un Kee Yaad;
Wo Hanse Wo Zer-e-Lab Kuch Keh Uthe;
Khwab Se Dikhla Rahi Hai Un Kee Yaad;
Main To Khudari Ka Qayal Hun Magar;
Kya Karun Phir Aa Rahi Hai Un Kee Yaad;
Ab Khyal-e-Tark-e-Rabt Zabt Hi Se Hai;
Khud B Khud Sharma Rahi Hai Un Kee Yaad!
~ Shakeel Badayuni
Share On Whatsapp
Dil Ne Ek Ek Dukh Saha Tanha;
Anjuman Anjuman Raha Tanha;
Dhalte Saayon Mein Tere Kooche Se;
Koi Guzara Hai Barha, Tanha;
Teri Aahat Kadam Kadam, Aur Main;
Us Maiyat Mein Bhi Raha Tanha;
Kuhna Yaadon Ke Barf-e-Jaaron Se;
Ek Aansu Baha, Baha Tanha;
Doobte Sahil Ke Mod Pe Dil;
Ek Khandhar Sa Raha Saha, Tanha;
Goonjta Reh Geya Khalaon Mein;
Waqt Ka Ek Kehkaha, Tanha!
Share On Whatsapp
Ishq Ko Taqleed Se Azaad Kar;
Dil Se Giraya Aankh Se Fariyad Kar;
Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Mizaz;
Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar;
Ai Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door;
Meri Veeraan Khalvatein Aabaad Kar;
Nazaz Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe;
Bhoolne Wale Khuda-Raa Yaad Kar;
Husn Ko Duniya Kee Aankhon Se Na Dekh;
Apni Ek Tarz-e-Nazar Izaad Kar;
Ishrat-e-Duniya Hai Ek Khwab-e-Bahar;
Kabaa-e-Dil Dard Se Aabaad Kar;
Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa;
Tauba Kar Nadaan Khuda Ko Yaad Kar!
Share On Whatsapp
Ab Khushi Hai Na Koi Gham Rulane Wala;
Humne Apna Liya Har Rang Zamane Wala;
Har Be-Chehra Si Ummeed Hai Chehra Chehra;
Jis Taraf Dekhi Aane Ko Hai Aane Wala;
Usko Rukhsat To Kiya Tha Mujhe Maloom Na Tha;
Sara Ghar Le Geya Ghar Chhod Ke Jaane Wala;
Door Ke Chaand Ko Dhundo Na Kisi Aanchal Mein;
Ye Ujala Nahi Aangan Mein Samane Wala;
Ek Musafir Ke Safar Jaisi Hai Sabki Duniya;
Koi Jaldi Mein Koi Der Mein Jaane Wala!
Share On Whatsapp
Chaman Mein Subah Ye Kehti Thi Ho Kar Chashm-e-Tar Shabnam;
Bahaar-e-Baag To Yun Hi Rahi Lekin Kidhar Shabnam;
Arq Kee Boond Us Kee Zulf Se Rukhsaar Par Tapki;
Tazub Kee Hai Jaage Ye Padi Khurshid Par Shabnam;
Humein To Baag Tujh Bin Khana-e-Matam Nazar Aaya;
Idhar Gul Phadte The Jeb, Roti Thi Udhar Shabnam;
Kare Hai Kuch Na Kuch Taseer Sohbat Saaf Taabon Kee;
Hui Aatish Se Gul Ke Baithte Rashq-e-Sharar Shabnam;
Bhala Tuk Subah Hone Do Ise Bhi Dekh Levenge;
Kisi Aashiq Ke Rone Se Nahi Rakhti Khabar Shabnam;
Na Samjha 'Dard' Humne Bhed Ya Kee Shadi-o-Gham Ka;
Sehar Khandaan Hai Kyon Roti Hai Kis Ko Yaak Kar Shabnam!
Share On Whatsapp
Tum Aaye Ho, Na Shab-e-Intezar Guzri Hai,
Talash Mein Hai Sahar, Baar, Baar Guzri Hai;
Junoon Mein Jitni Bhi Guzri Bekar Guzri Hai,
Agarche Dil Pe Kharabi Hazaar Guzri Hai;
Woh Baat Sare Fasane Mein Jiska Zikr Na Tha,
Woh Baat Un Ko Bahut Nagavar Guzri Hai;
Na Gul Khile Hain, Na Un Se Mile Hain, Na Mai Pi Hai,
Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar, Guzri Hai;
Chaman Pe Gharat-e-Gulchin Se Jane Kya Guzri,
Qafas Se Aaj Saba Be-Qarar Guzri Hai!
Share On Whatsapp
Jhonka Idhar Na Aaye Naseem-e-Bahaar Ka,
Naazuk Bahut Hai Phool Charaag-e-Mazaar Ka;
Phir Baithe-Baithe Vaad-e-Vasl Us Ne Kar Liya,
Phir Uth Khada Hua Vahi Rog Intezaar Ka;
Shaakhon Se Barg-e-Gul Nahi Jhadte Hain Baag Mein,
Zevar Utaar Raha Hai Uroos-e-Bahaar Ka;
Har Gul Se Laalazaar Mein Ye Puchta Hun Main,
Tu Hi Pata Bata De Dil-e-Daagdaar Ka;
Is Pyaar Se Fishaar Diya Gor-e-Tang Ne,
Yaad Aa Geya Maza Mujhe Aagosh-e-Yaar Ka;
Hilti Nahi Hawa Se Chaman Mein Ye Daaliyan,
Munh Choomte Hain Phool Uroos-e-Bahaar Ka;
Uthta Hai Naza Mein Vo Sarhane Se Ai 'Ameer',
Mitta Hai Aasra Dil-e-Ummeedvaar Ka!
Share On Whatsapp
New status
Hindi Status
Punjabi Status
Video status
More Categories