Saans Tham Jati Hai Par Jaan Nahi Jati,
Dard Hota Hai Par Aawaz Nahi Aati,
Ajeeb Log Hain Is Zamane Mein,
Koi Bhool Nahi Pata Aur Kisi Ko Yaad Nahi Aati!
Woh Baatein To Humse Karte The Magar Us Mein Zikar Kisi Aur Ka Rehta Tha;
Hum To Unke Har Dukh Ko Apna Maante Rahe Aur Unhein Fikar Kisi Aur Ka Rehta Tha!
Saans Tham Jati Hai Par Jaan Nahi Jati,
Dard Hota Hai Par Aawaz Nahi Aati,
Ajeeb Log Hain Is Zamane Mein,
Koi Bhool Nahi Pata Aur Kisi Ko Yaad Nahi Aati!
Na Chaho Itna Humein Chahaton Se Darr Lagta Hai,
Na Aao Kareeb Itna Ki Judai Se Darr Lagta Hai,
Tumhari Wafaon Pe To Hai Yakeen Humein,
Bas Apne Hi Naseeb Se Darr Lagta Hai!
Kuch Haar Gayi Taqdeer, Kuch Toot Gaye Sapne,
Kuch Gairon Ne Kiya Barbaad Kuch Bhool Gaye Apne
Dil Behlane Ke Liye Hi Guftgu Kar Liya Karo Janab;
Maloom To Humein Bhi Hai Ki Hum Aapko Achhe Nahi Lagte!
Jo Afsaane Dil Mein Rehte Hain, Wo Aankhon Mein Nahi Rehte;
Bahut Se Harf Aise Hain, Jo Lafzon Mein Nahi Rehte;
Kitabon Mein Likhe Jaate Hain, Duniya Bhar Ke Afsaane;
Magar Jin Mein Haqeeqat Ho, Wo Kitabon Mein Nahi Rehte!