Gila Shikwa Status (2026) - गिला शिकवा हिंदी स्टेटस

पढ़िए दिल के दर्द और शिकायतों को बयां करती गिला शिकवा शायरी (Updated Daily)
Total Status-(120)


Ab Bhi Yaad Kar Rahe Ho PaagaL Ho Kya,
Usne To Tere Baad Bhi Hazaron BhuLa Diye!


Download Image


Jo Kehte The Ki Rahenge Umar Bhar Saath Tere,
Ab Roothe Hain To Koi Manane Bhi Nahi Aaya!


Download Image


Tha Vaada Shaam Ka Magar Aaye Woh Raat Ko,
Main Bhi Kivaad Kholne Fauran Nahi Geya!


Download Image


Kaise Kahen Ki Usko BhI Humse Hai Koi Vaasta,
Usne To Humse Aaj Tak Koi Gila Nahi Kiya!


Download Image


Na Chaho Itna Humein Chahaton Se Darr Lagta Hai,
Na Aao Kareeb Itna Ki Judai Se Darr Lagta Hai,
Tumhari Wafaon Pe To Hai Yakeen Humein,
Bas Apne Hi Naseeb Se Darr Lagta Hai!


Download Image


Shayar Bana Diya Adhuri Mohabbat Ne,
Mohabbat Agar Puri Hoti To Hum Bhi Ek Ghazal Hote!


Download Image


Kuch Haar Gayi Taqdeer, Kuch Toot Gaye Sapne,
Kuch Gairon Ne Kiya Barbaad Kuch Bhool Gaye Apne
Dil Behlane Ke Liye Hi Guftgu Kar Liya Karo Janab;
Maloom To Humein Bhi Hai Ki Hum Aapko Achhe Nahi Lagte!


Download Image

Naseeb-Naseeb Ki Baat Hoti Hai, Koi Nafrat Dekar Bhi Bepanah Pyaar Karta Hai;
Aur Koi Bepanah Pyaar Dekar Bhi Yahan Bas Khaali Haath Reh Jaata Hai!


Download Image


Jo Afsaane Dil Mein Rehte Hain, Wo Aankhon Mein Nahi Rehte;
Bahut Se Harf Aise Hain, Jo Lafzon Mein Nahi Rehte;
Kitabon Mein Likhe Jaate Hain, Duniya Bhar Ke Afsaane;
Magar Jin Mein Haqeeqat Ho, Wo Kitabon Mein Nahi Rehte!


Download Image


Maana Ki Tum Lafzon Ke Baadshah Ho Lekin,
Hum Bhi Khamoshiyon Par Raaj Karte Hain!


Download Image

Shayad Unki Ada Hai Ye Jo Har Din Hume Tadpate Hain Wo,
Kabhi Kisi To Kabhi Kisi Bahane Se Hume Satate Hain Wo,
Na Jane Kya Milta Hai Unhe Jo Humpe Yeh Sitam Dhate Hain Wo,
Chain Hi Nahi Milta Unhe Jab Tak Hume Rulate Nahi Hain Wo!


Download Image


Kuch Haar Gayi Taqdeer, Kuch Toot Gaye Sapne;
Kuch Gairon Ne Kiya Barbaad Kuch Bhool Gaye Apne!


Download Image

Wo Waqt Ka Jahaaz Tha Karta Lihaaz Kya,
Main Doston Se Haath Milane Mein Reh Geya!


Download Image


Jin Kee Nazron Mein Hum Nahi Achhe,
Kuch To Woh Log Bhi Bure Honge!


Download Image


Sholhiyan Chod Di Usne Ab Ke,
Har Rang Mein Udaasi Ghulti Ja Rahi Hai;
Us Roothne Wale Se Kaho Dekh Le Aa Kar,
Woh Paagal Ladki Ab Sudharti Ja Rahi Hai!


Download Image

Aaj Hamari Baaton Ka Jawab Nahi Dete Na Do,
Aaoge Jab Hamari Kabar Par Hum Bhi Aisa Hi Karenge!


Download Image


Lajja Kar Sharam Kha Kar Muskura Kar,
Diya Bosa Magar Munh Bana Kar!


Download Image


Raat Kitni Veeran Si Ho Jaati Hai,
Jab Kuch Apne Yaad Kiye Bina Hi So Jaate Hain!


Download Image


Fursat Nahi Unhe Humse Kuch Batein Karne Kee,
Isliye Ab Har Waqt Khamosh Rehte Hain!


Download Image


Dil Se Roye Magar Honthon Se Muskura Baithe,
Yun Hi Hum Kisi Se Wafa Nibha Baithe,
Wo Humein Ek Lamha Na De Paye Apne Pyaar Ka,
Aur Hum Unke Liye Zindagi Luta Baithe!


Download Image


Wo Mohabbat Bhi Teri Thi, Wo Nafrat Bhi Teri Thi;
Wo Apnapan Aur Thukrane Ki Ada Bhi Teri Thi;
Hum Apni Wafa Ka Insaf Kisse Maangte,
Wo Shehar Bhi Tera Tha Aur Adalat Bhi Teri Thi!


Download Image


Tarsate The Jo Milne Ko Humse Kabhi,
Aaj Wo Kyon Mere Saaye Se Katraate Hain;
Hum Bhi Wahi Hain Dil Bhi Wahi Hai,
Naa Jane Kyon Log Badal Jaate Hain!


Download Image


Laga Kar Aag Seeney Mein Chale Ho Tum Kahan;
Abhi To Raakh Udne Do Tamasha Aur Bhi Hoga!


Download Image


Ab Kaun Se Mausam Se Koi Aas Lagaye;
Barsaat Mein Bhi Yaad Na Jab Un Ko Hum Aaye!


Download Image


Ishq Ka Batwara Razamandi Se Hua,
Chamak Unhone Batori Tanhai Hum Le Aaye!


Download Image


Dil Se Roye Magar Honthon Se Muskura Baithe,
Yun Hi Hum Kisi Se Wafa Nibha Baithe,
Wo Humein Ek Lamha Na De Paye Apne Pyaar Ka,
Aur Hum Unke Liye Apni Zindagi Luta Baithe!


Download Image


Le De Ke Apne Paas Faqat Ek Nazar To Hai,
Kyon Dekhe Zindagi Ko Kisi Kee Nazar Se Hum!


Download Image


Kitna Badlun Khud Ko Tere Liye,
Kuch To Mere Andar Mera Rehne De!


Download Image


Berukhi Kis Shiddat Se Nibhai Jaati Hai Koi Unse Seekhe;
Aankhein Khuli Rakhte Hain Aur Kehte Hain Hum Dikhte Hi Nahi!


Download Image


Jinhen Saanson Ki Mehek Se Ishq Mehsoos Na Ho,
Wo Gulab Dene Bhar Se Haal-E-Dil Kya Samjhenge!


Download Image

« Previous1234
📝 Text Status 🏠 Home 📂 Categories 🎥 Video Status