Gila Shikwa Status (2026) - गिला शिकवा हिंदी स्टेटस

पढ़िए दिल के दर्द और शिकायतों को बयां करती गिला शिकवा शायरी (Updated Daily)
Total Status-(120)


Manayega Nahi JaB Koi Tumhein Rooth Jaane Ke Baad,
To Apna Roothna Aur Mera Manana Bahut Yaad Aayega!


Download Image

Na Chaho Itna Hume, Chahaton Se Dar Lagta Hai,
Na Aao Itna Kareeb, Judai Se Dar Lagta Hai,
Tumhari Wafaon Pe Bharosa To Hai,
Magar Apne Naseeb Se Dar Lagta Hai!


Download Image


Itne Sawal The Mere Paas Ki Meri Umar Se Simat Na Sake,
Jitne Jawaab The Tere Paas Sabhi Teri Ek Nigah Mein Aa Gaye!


Download Image


Tu Nahi To Ye Nazara Bhi Bura Lagta Hai,
Chaand Ke Paas Sitaara Bhi Bura Lagta Hai,
La Kar Jab Se Chodda Hai Tumne Bhanwar Mein Mujhko,
Mujhe Dariya Ka Kinara Bhi Bura Lagta Hai!


Download Image

Ajeeb Rangon Mein Guzri Hai Zindagi Hamari,
Dilon Par To Raaj Kiya Bas Mohabbat Ko Taras Gaye!


Download Image


Main Chahta Tha Wafa Unse, Unhone Humein Bhula Diya;
Isi Tadapte Gham Ne Yaaro, Mujhe Shayar Bana Diya!


Download Image


Na Chaho Itna Humein Chahaton Se Darr Lagta Hai,
Na Aao Itna Kareeb Ki Judai Se Darr Lagta Hai,
Tumhari Wafaon Pe Bharosa To Bahut Hai,
Bas Apne Hi Naseeb Se Darr Lagta Hai!


Download Image


Guftgu Karte Rahiye Thodi Thodi Sabhi Doston Se,
Kyonki Aksar Jaale Lag Jaate Hain Band Makaano Mein!


Download Image


Meri Bas Itni Si Khwahish Hai,
Ki Bas Ajnabi Raahon Mein Koi Apna Na Mil Jaye!


Download Image


Unke Chehre Pe Is Kadar Noor Tha Ki Unki Yaad Mein Rona Bhi Manzoor Tha,
Bewafa Hain Woh Ye Keh Bhi Nahi Sakta Tha Pyaar To Humne Kiya Us Mein Uska Kya Kasoor Tha!


Download Image


Waqt Mile To Yaad Karte Ho, Dil Karta Hai To Baat Karte Ho,
Ek Zamana Tha Jab Hamare Bina Ek Pal Bhi Nahi Reh Sakte The,
Par Ab To Ek Zamane Ke Baad Sirf Pal Bhar Ke Liye Yaad Karte Ho!


Download Image


Tumne Bhi Humein Bas Ek Diye Ki Tarah Hi Samjha,
Raat Gehri Hui To Jala Dia, Subah Hui To Bujha Dia!


Download Image


Tera Nazariya Mere Nazariye Se Alag Tha Kyonki,
Tumne Waqt Guzara Tha Aur Maine Zindagi!


Download Image


Kuch Aise Ho Gaye Hain Is Daur Ke Rishte,
Jo Awaaz Tum Na Do To Bolte Wo Bhi Nahi!


Download Image


Gurur Bahut Tha Mujhe, Tumhein Apni Mohabbat Bana Kar;
Par Shayad Is Mohabbat Se Bhi Upar Apno Ke Ehsaan Ne Ye Gurur Thamne Na Diya!


Download Image


Ajeeb Daastaan Hain Is Chhote Se Dil Ki,
Marammat Bhi Hum Karen, Sudharein Bhi Hum Magar Tod Koi Aur Deta Hai!


Download Image


Zindagi Yun Hi Bahut Kam Hai Mohabbat Ke Liye;
Rooth Kar Waqt Ganvane Ki Zaroorat Kya Hai!


Download Image


Saans Tham Jati Hai Par Jaan Nahi Jati,
Dard Hota Hai Par Aawaz Nahi Aati,
Ajeeb Log Hain Is Zamane Mein,
Koi Bhool Nahi Pata Aur Kisi Ko Yaad Nahi Aati!


Download Image

Meri Mohabbat Ki Na Sahi, Mere Saleeke Ki To Daad De;
Tera Zikr Roz Karte Hain, Tera Naam Liye Bagair!


Download Image


Woh Baatein To Humse Karte The Magar Us Mein Zikar Kisi Aur Ka Rehta Tha;
Hum To Unke Har Dukh Ko Apna Maante Rahe Aur Unhein Fikar Kisi Aur Ka Rehta Tha!


Download Image


Aaj Kyon Takleef Hoti Hai Tumhein Meri Be-Rukhi Se,
Tum Ne Hi To Sikhaya Hai Ki Kaise Dil Jalate Hain!


Download Image


Maine Kab Kaha Ki Tum Keemat Samjho Hamari,
Humein Bikna Hi Agar Hota To Yun Tanha Nahi Hote!


Download Image


Ye Jo Mere Halaat Hain, Ek Din Ye Sudhar Jayenge,
Magar Tab Tak Kayi Log Mere Dil Se Utar Jayenge!


Download Image


Na Haal Pucha, Na Khairiyat Puchi;
Aaj Bhi Jab Mile Toh Unhone Bas Haisiyat Puchi!


Download Image


Is Duniya Mein Ajnabi Rehna Hi Theek Hai,
Log Bahut Takleef Dete Hain Aksar Apna Bana Kar!


Download Image


Bhula Denge Tumhein Bhi Zara Sabar To Kijiye,
Aapke Jaisa Banne Mein Aur Badalne Mein Thoda Waqt To Lagega!


Download Image


Koi Tabeez Aisa Do Ki Main Chalaak Ho Jaun;
Bahut Nuksaan Deti Hai Mujhe Ye Sadgi Meri!


Download Image


Bin Mere Reh Hi Jayengi Koi Na Koi Kami Shahyad,
Tum Zindagi Ko Jitni Marzi Sanwarne Ki Koshish Kar Lo!


Download Image


Sikha Do Mujhe Bhi Vaadon Se Mukar Jaane Ka Hunar,
Main Bhi Bahut Thak Geya Hun Inhe, Nibhate-Nibhate!


Download Image


Saans Tham Jati Hai Par Jaan Nahi Jati,
Dard Hota Hai Par Aawaz Nahi Aati,
Ajeeb Log Hain Is Zamane Mein,
Koi Bhool Nahi Pata Aur Kisi Ko Yaad Nahi Aati!


Download Image

« Previous1234Next »
📝 Text Status 🏠 Home 📂 Categories 🎥 Video Status