Gila Shikwa Status (2026) - गिला शिकवा हिंदी स्टेटस

पढ़िए दिल के दर्द और शिकायतों को बयां करती गिला शिकवा शायरी (Updated Daily)
Total Status-(120)

Ho Chuki Mulakaat Abhi Salaam Baaki Hai,
Tumhare Naam Ki Do Ghoont Sharaab Baki Hai,
Tumko Mubarak Ho Khushiyon Ka Shamiyana,
Mere Naseeb Mein Abhi Do Gaz Zameen Baki Hai!


Download Image


Is Kadar Hum Yaar Ko Manane Nikle,
Uski Chahat Ke Hum Deewane Nikle,
Jab Bhi Use Dil Ka Haal Batana Chaha,
Toh Uske Hothon Se Waqt Na Hone Ke Bahane Nikle!


Download Image


Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi;
Yeh Dil Hai Ki Tere Baad Sambhalta Hi Nahi!


Download Image


Taraste The Jo Humse Milne Ko Kabhi,
Na Jaane Kyon Aaj Humare Saye Se Bhi Katrate Hain,
Hum Bhi Wahi Hain Yeh Dil Bhi Wahi Hai,
Na Jaane Phir Kyon Humein Dekh Wo Raasta Badal Jaate Hain!


Download Image


Seekh Jao Waqt Par Kisi Ki Chahat Ki Qadar Karna,
Kahin Koi Thak Na Jaye Tumhe Ehsaas Dilate Dilate!


Download Image


Mere Saath Wo Rahega To Zamana Kya Kahega,
Meri Ek Yehi Tamanna, Tera Ek Yehi Bahaana!


Download Image


Usne Toda Tha Mera Dil Us Se Koi Shikayat Nahi,
Ye Usi Ki Amanat Thi Usko Achha Laga So Tod Diya!


Download Image


Waqt Wahi Khada Raha, Sadak Aage Nikal Gayi;
Koi Zidd Pe Ada Raha, Kisi Ki Jaan Nikal Gayi!


Download Image

Kuchh Ajab Haal Hai In Dino Tabiyat Ka Sahab,
Khushi, Khushi Na Lage Aur Gham Bura Na Lage!


Download Image


Teri Mehfil Se Uthe To Kisi Ko Khabar Tak Na Thi,
Tera Mud-Mud Ke Dekhna Humein Badnaam Kar Geya!


Download Image

Karein Kis Ka Yakeen Yahan Sab Adakaar Hi To Hain,
Gila Bhi Karein To Kis Se Yahan Sab Apne Yaar Hi To Hain!


Download Image


Kisi Ka Ishq Kisi Ka Khyaal The Hum Bhi,
Gaye Dino Mein Bahut Ba-Kamaal The Hum Bhi!


Download Image


Koshish To Hoti Hai Ki Teri Har Khwahish Poori Karun;
Par Darr Lagta Hai Ki Tu Khwahish Mein Mujhse Judai Na Maang Le!


Download Image


Keh Deta Hun Vaise Mera Kehna Nahi Banta,
Is Dil Ke Ilawa Kahin Aur Tera Rehna Nahi Banta!


Download Image


Tum Agar Yaad Rakhoge To Inayat Hogi,
Varna Hum Ko Kahan Tum Se Shikayat Hogi,
Ye To Bewafa Logon Ki Dunya Hai,
Tum Agar Bhool Bhi Jao To Riwayat Hogi!


Download Image


Mana Ki Hum Galat The Jo Tujhse Mohabbat Kar Baithe,
Par Royega Ek Din Tu Bhi Aisi Wafa Kee Talaash Mein!


Download Image


Jisne Kabhi Chahaton Ka Paigaam Likha Tha;
Jisne Apna Sab Kuch Mere Naam Likha Tha;
Suna Hai Aaj Use Mere Zikar Se Bhi Nafrat Hai;
Jisne Kabhi Apne Dil Par Mera Naam Likha Tha!


Download Image


Aaj Koi Shayari Nahi Bas Itna Sun Lo,
Main Tanha hun Aur Vajah Tum Ho!


Download Image


Sirf Nazdeekiyon Se Mohabbat Hua Nahi Karti;
Fasle Jo Dilon Mein Ho To Fir Chahat Hua Nahi Karti;
Agar Naraz Ho Khafa Ho To Shikayat Karo Humse;
Khamosh Rehne Se Dilon Kee Dooriyan Mita Nahi Karti!


Download Image


Bikta Hai Gham Hansi Ke Bazaar Mein,
Lakho Dard Chupe Hote Hain Ek Chote Se Inkaar Mein,
Wo Kya Samajh Payenge Pyaar Ki Kashish Ko,
Jinhone Fark Hi Nahi Samjha Pasand Aur Pyaar Mein!


Download Image


Zindagi Yun Hi Bahut Kam Hai Mohabbat Ke Liye;
Ruth Kar Aise Yun Waqt Zaaya Na Kiya Karo!


Download Image


Nazare To Badlenge Hi Ye To Kudrat Hai,
Afsos To Humein Tere Badalne Ka Hua Hai!


Download Image


Dilon Se Khelna Humein Bhi Aata Hai Magar,
Jis Khel Mein Khilona Toot Jaye Wo Khel Humein Pasand Nahi!


Download Image


Kaash Wo Samjhte Is Dil Ki Tadap Ko Toh Humein Yun Ruswa Na Kiya Jata;
Yeh Berukhi Bhi Unki Manzoor Thi Humein Bas Ek Baar Hamein Samajh Toh Liya Hota!


Download Image


Loot Lete Hain Apne Hi Yahan,
Varna Gairon Ko Kya Pata Is Dil Ki Deewar Kamzor Kahan Se Hai!


Download Image

Afsos Toh Hai Tumhare Dil Ke Badal Jaane Ka,
Magar Tumhari Kuch Baaton Ne Jeene Ka Salika Sikha Diya!


Download Image


Zindagi Yun Hi Bahut Kam Hai Mohabbat Ke Liye;
Rooth Kar Aise Yun Waqt Zaaya Na Kiya Karo!


Download Image


Tera Naam Tha Aaj Kisi Ajnabi Ki Zubaan Pe,
Baat To Zara Si Thi Par Dil Ne Bura Maan Liya!


Download Image


Labon Se Kuch Kehte Ho, Aankhon Se Kuch Aur;
Kabhi Dil Se Kuch Kaho To Hum Apni Baat Kare!


Download Image


Muskurahtein Jhoothi Bhi Hua Karti Hain,
Dekhna Nahi Inhe Samjhna Seekho!


Download Image

« Previous1234Next »
📝 Text Status 🏠 Home 📂 Categories 🎥 Video Status