Kitna Aur Dard Dega Bas Itna Bata De
Aisa Kar Ya Rab Meri Hasti Mita De
Yu Ghut Ghut Ke Jeene Se Maut Behtar
Hai
Kabi Na Khule Ankhen Meri Tu Aisi Neend
Sula De..!
Is Aas Me Chala Jaunga Main Ye
Jahan Chor Kar, Ke Shayad Mera
Marna Hi Kuchh Kaam Aayega,
Shayad Chali Aaye Tu Us Pal
Mere Paas Daudkar, Jis Pal Tere
Paas Meri Maut Ka Paigam Aayega.
Is Aas Me Chala Jaunga Main Ye
Jahan Chor Kar, Ke Shayad Mera
Marna Hi Kuchh Kaam Aayega,
Shayad Chali Aaye Tu Us Pal
Mere Paas Daudkar, Jis Pal Tere
Paas Meri Maut Ka Paigam Aayega.
Mere Gam Aur Meri Khushi Dono
Usi Se Thi Aur Aaj Bhi Hai, Fark
Bs Itna Hai Ki Meri Khushi Me Vo
Mere Sath Thi, Aur Ab Usne Mujhe
Mere Gam Me Aakela Chhor Diya.
Main Ja Rhi Hu Bahot Door Tumse. .
Wo Kah Gyi Mera Intezaar Na Karna. .
. .
Tumhara Dil Kahega Mai Laut Aaungi. .
Apne Dil Par Tum Aitbaar Na Karna. .
. .
Ussne Kaha Wo Bhool Chuki Hai Mujhko. .
Fir Kaha Mujhe Yaad Na Karna. .
. .
Ussne Kaha Kii "Mujhe Pyar Nhi Tumse". .
Fir Ye Bhi Kaha Ki "Kisi Aur Se Pyar Na Karna"
Itni bedardi se dil ko mere voh tod degi,
Yeh maloom na tha mujhe akela voh chhor degi,
Aey mere masoom dil tu tanhai se pyar kar le,
Bewafa bhi ab wafa ka saath chhor degi.
Hum to tere dil ki mahfil sajane aye the,
Teri kasam tujhy apna banany aye the.
Kis baat ki sazaa di tu ne ham ko,
Bewafa hum to tere dard ko apnane aye the..
kabhi tu hasati he,kabhi aati he yaad teri rulane k liye
itna tadpati he kya karu tujhe bhulane ke liye,
sab kuch ho gaya khatam ab kuch na raha jatane k liye
jo paas hote to mana bhi lete,
ab dur ho to kaha jaye manane ke liye.
Kab Thay Hum Bejaan Jo Aaj Jeene
Lage
Kab Thay Hum Hosh Me Jo Aaj Behosi
Me Peene Lage
Kab Thay Wo Hamare Jo Aaj Humse
Juda Hai
Kab Na Tha Hum Me Wafa Jo Mila Nahi
Hume Khuda Hai..!
Hanste Huey,
Aankhon Mein Kyun Aa Jaate Hain Ye Aansoo
Yoon Khushi Ko Adhoora Sa
Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Dard Itna Hai Saha,
Khaali Ho Gaya Samandar Ashkon Ka
Jaane Kahan Say Aankhon Mein
Bhar Jaate Hain Ye Aansoo
Khush Hoon Main,
Koi Shikwa Zamane Say Na Taqdeer Say
Meri Iss Baat Ko Jhoota
Kyun Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Shayad Khabar Hai Inn Ko Bhi
Kis Qadar Tanha Hoon Main
Tanhaai Mein Maira Saath
Nibha Jaate Hain Ye Aansoo !!
Kaash Tujhe Na Paaya Hota
To Aaj Khone Ki Naubat Na Aati
Kaash Teri Khusiyon Me Na Shamil
Hote
To Aaj Gam Se Mulaqaat Na Hoti
Kaash Tujhe Dekh Ke Na Jeeya
Hota
To Aaj Marne Ki Chahat Na Hoti..!
Ye Mat Kehna Ki Teri Yaad Se Rishta
Nahi Rakha, Main Khud Tanha Raha
Dil Ko Magar Tanha Nahi Rakha,
Tumhari Chahton Ke Phool To
Mehfooz Rakhe Hain, Tumhari
Nafrato Ke Dard Ko Zinda Nahi Rakha!
Hamari har ek bat ko aap ek din manoge..
Kay hoti hai dil se dil ki duri wo ek din
tum bhi janoge.. Koroge kisiko itna yad ki,
zindagi hogi sath me lekin maut ki duwa tum mangoge..
Parkhte Rahe
Wo Hume Sari Zindagi
Or Hum Bhi
Unke Har
Imthehan Me
Pas Hote Rahe
Maza Aa Raha
Tha Unhe Hamari Aansuon Ki Barish Me
Or Hum Bhi
Unke Liye Bina Ruke Rote Rahe
Be Dard The Wo
Kuch Is Kadar
Nind Hamari
Uda Kar Khud
Chain Se Sote Rahe
Jinhe Pane Ke
Liye Humne Sab
Kuch Luta Diya
Wo Hume Har Kadam Par Khote Rahe
Or 1 Din Jab
Hua Is Ka Ehsas Unhe
Woh Humare
Pas Aa Kar
Pure Din Rote
Rahe
Or Hum Bhi
Itne Khudgarj Nikle Yaro
Ki Ankhe Band Kar Kafan Mai Sote Rahe.
Wo Ek Chehra Hum Talash Kar Ke
Roye
Zinda Hain Magar Zindagi Talash Kar
Ke Roye
Koi Kyun Bhool Gaya Humein Apna
Bana Kar
Hum Khud Mein Wo Kami Talash Kar
Ke Roye...